X
    Categories: GOOGLE

Google Account Me Passkeys Use Kaise Kare

Google account me passkeys use kaise kare iss post me hum janenge so agar aap google users hai aur apne google par login karne ke liye password ka use karte hai to apne google account me passkeys setup karke aap directly apne phone ke fingerprint se google par login kar sakte hai.

Apne phone me google account me login karne ke liye aapko password ki jarurat hoti hai agar aap baar baar apne google account se logout karke login karte hai to aapko pasword enter karna padta hai tabhi aapka google account login hota hai.

Lekin agar aap apne google account me passkeys feature ko enable kar dete hai to iske baad aapko apne phone me google login karne ke liye password ki jarurat nahi padegi aap direct apne phone ke fingerprint ke through apne google account me login kar sakte hai.

Passkeys ek new safer aur easier way hai apne google account me login karne ke liye jo ki password ka alternative hai jisme aapke phone ka biometric sensor (fingerprint or facial recognition), pattern or pin ka use hota hai google me sign in karne ke kiye.

Ab aap samajh gaye honge ki google me passkeys kya hai aur passkeys kaie kaam karta hai to chaliye ab step by iss post me janate hai ki apne google account me password ka alternative feature passkeys ka use kaise karte hai or google par passkeys setup kaise karte hai.

Google Account Me Passkeys Use Kaise Kare

1 Sabse pehle apne phone me Google app open karke login kare.

2 Iske baad top right corner me apne Profile icon par click kare.

3 Ab jo popup open hoga isme Google account option par click kare.

4 Iske baad next interface me Security tab par click kare.

5 Ab security tab me new Passkeys option par click kare.

6 Iske baad apna Google password enter karke Next option par click kare.

7 Ab next interface me Use passkeys option par click kare.

8 Iske baad ek popup open hoga to isme finally Done option par click kar dijiye.

Iske baad aapke google account me passkeys feature enable ho jayega aur ab se jab bhi aap apne device me apne google account se logout karke wapas login karenge to password ki jagah par aapko apna fingerprint enter karna hoga jiske baad aapka google account login ho jayega.

I hope, ab aap samajh gaye honge ki google passkeys kya hai aur google passkeys setup kaise karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

View Comments (1)