X
    Categories: FACEBOOK

Messenger Chat Unarchive Kaise Kare – How to Unarchive Chat on Messenger

How to unarchive chat on messenger yani ki messenger chat unarchive kaise kare aaj iss post me mein aapko batane wala hu, so agar aap facebook messenger use karte hai aur apne kisi friend ki chat ko archive kar chuke hai aur nahi janate ki ab unarchive kaise kare to iss post ko end tak jarur padhe.

Facebook messenger par kisi bhi friend ki chat ko archive karna bahut hi simple hai, iske liye bus aapko chat par 2 ya 3 seconds long press karna hai jiske baad archive ke option par click karke aap uss friend ki chat ko un-archive kar sakte hai.

Jitna easy messenger chat ko archive karna hai utna hi aasaan uss chat ko un-archive karna bhi hai, lekin mostly users kisi chat ko archive to kar dete hai but chat un-archive kaise karte hai ye nahi janate hai, so agar aap bhi nahi janate hai to niche bataye easy steps ko follow kare.

Messenger Chat Unarchive Kaise Kare – How to Unarchive Chat on Messenger

1 Sabse pehle apna Facebook messenger open kare.

2 Messenger open karte hi chat list aapke samne aayegi to yahapar top side me Search box me uss friend ka Profile name type kare.

3 Ab search result me aapke samne Friend profile name ko select kare.

4 Iske baad koi bhi Message type kare aur finally Send button par click kar dijiye.

Bus aapko yahapar itna hi kaam karna hai, message bhejte hi aapka friend chat list me wapas add ho jayega aur aap fir se ek dusre ke sath messenger par chatting kar sakte hai.

I hope aap samajh gaye honge ki messenger par kisi bhi friendchat ko unarchive kaise karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More