Telegram par fingerprint lock kaise lagaye iss post me hum janenge so agar aap telegram user hai aur apne telegram account ki security ko aur bhi jyada strong banana chahte hai to aapko passcode aur fingerprint lock apne account par add jarur karna chahiye.
Agar aap nahi janate ki telegram par fingerprint lock kaise add karte hai or passcode kaise enable karte hai to iss post me aapko fingerprint lock aur passcode lock enable karne ki puri jankari step by step mil jayegi isliye niche diye gaye easy steps ko follow kare.
Telegram Par Fingerprint Lock Kaise Lagaye – How to Turn On Passcode and Fingerprint Lock on Telegram
1 Sabse pehle Telegram open kare.
2 Iske baad top left corner me 3 lines par click kare.
3 Ab kuch options aayenge to inme Settings option par click kare.
4 Settings page me Privacy and security option par click kare.
5 Iske baad next interface me Passcode lock option par click kare.
6 Ab next interface me apne according 4 digits ka passcode set karke verify kare.
7 Iske baad aapke telegram account par passcode enable ho jayega, ab fingerprint enable karne ke liye yahapar Unlock with fingerprint option ke samne toggle button ko on kar dijiye.
8 Ab apne Phone ki settings open kare.
9 Phone settings me Password and biometrics option par click kare.
10 Next interface me Add fingerprint option par click kare.
11 Ab next interface me scanner par touch karke sahi se apne Fingerprint add karke Done option par click kar dijiye.
Lijiye aapka kaam ho gaya iske baad jab bhi aap apne locked telegram account ko open karenge to fingerprint se unlock karne ka option aayega aur jab aap apne fingerprint se unlock karenge tabhi aapka telegram open hoga.
I hope aap samajh gaye honge ki telegram par fingerprint lock ko enable kaise karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.
Video Dekhe