How to Stop tagging on Instagram yani ki Instagram pe khud ko tag hone se kaise bachaye aaj ki iss post me mein aapko batane wala hu, agar aapka instagram account haiaur other instagram users aapko apni koi photo or video tag karte hai, aur aap instagram par tags block karna chahte hai to aaj ki ye post aapke liye hi hai.
Instagram par tags block karne ke liye aapko ek chhoti si setting karni hai jiske baad koi bhi user aapki timeline par kisi bhi tarah ki photo ya video tag nahi kar payega, to chaliye start karte hai aur janate hai instagra par tags disable kaise karte hai.
Instagram Pe Khud Ko Tag Hone Se Kaise Bachaye – How to Stop Tagging on Instagram
1 Sabse pehle apne Instagram account me login kare.
2 Ab bottom right corner me apne Profile icon par click kare.
3 Iske baad profile page me top right corner par 3 lines par click kare.
4 Ab kuch options aayenge to yahapar bottom side me Settings option par click kare.
5 Ab aap instagram settings page me pahuch jayenge to yahapar Privacy option par click kare.
6 Iske baad next interface me Interactions section me Tags option par click kare.
7 Ab next interface me Allow tags from option ke niche privacy ke alag alag options aayenge to yahapar:-
- Everyone option by default selected rehta hai isse publicly koi bhi user aapko instagram par tag kar sakta hai.
- People you follow option ko select karenge to jo aapki following hogi vahi aapko tags kar sakte hai.
- No one option ko select karne par instagram par koi bhi aapko tag nahi kar payega.
8 Ab agar aapko instagram tagging ko block karna hai to yahapar No one option ko select kar dijiye.
Lijiye aapka kaam ho gaya ab koi bhi instagram user chahe aapka follower ho ya following ho ya koi unknown user ho aapko koi bhi photo video tag nahi kar payega.
I hope ab aap samajh gaye honge ki instagram par khud ko tag hone se kaise bachaye, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.
Video Dekhe