MX PLAYER

MX Player Me Ads Band Kaise Kare

How to remove ads from mx player yani ki mx player me ads band kaise kare iss post me hum janenge so agar aap mx player use karte hai aur apni mx player app me ads block karna chahte hai aur nahi janate ki mx player par ads disable kaise karte hai to aaj ki ye post aapke liye hi hai kyuki iss post me mein aapko yahi batane wala hu.

Mx player ek indian video streaming OTT platform hai jahapar users apni mobile gallery ke music videos or movies ko play kar sakt hai, old aur new movies ko online dekh sakte hai, online music videos play kar sakte hai, aise me users ko mx player par ads bhi show hoti hai jinki vajah se mostly users pareshan hote aur ads disturbance ko band kar dena chahte hai.

Aise me kuch free aur paid tricks hai jinka use karke aap mx player par advertisement ko remove kar sakte hai agar aap inn tricks ke bare me nahi janate ki kaise mx player par ads ko disable kar sakte hai to iss post me niche diye gaye sabhi easy steps ko follow jarur kare.

MX Player Me Ads Band Kaise Kare

Mx player me downloaded or online jo bhi videos aap dekhte hai jo bhi episodes or music videos aap watch karte hai sabhi me ads show hoti hai agar aap ads band karna chahte hai to niche diye methods ko try kijiye.

Turn off Mobile Data

Agar aap mx player par download ki huyi videos ko dekhte time ads remove karna chahte hai to iske liye aap apne mobile data connection ko turn off kar dijiye.

Mobile data disable karne ke baad aap mx player ki downloaded videos ko play karenge to ads show nahi hogi, lekin aisa karne se other social apps ke through milne wale messages bhi block ho jayegi.

Restrict Data or Mx Player

Agar aap chahte hai ki sirf mx player par ads show na ho aur baki aapke mobile ki sabhi applications me online activity hoti rahe messages aur notifications milte rahe to aap mx player ka data connection aur background activity disable kar sakte hai.

  1. Iske liye aapko mx player app par Long press kare.
  2. Iske baad App info option par click kare.
  3. Mx player ki app info page me Data usage details option par click kare.
  4. Iske baad kuch option aayenge to inme Disable mobile data aur Disable wi-fi options ko enable kar dijiye aur sath hi Background data option ko disable kar dijiye.

Lekin aisa karne se aap mx player par online videos nahi dekh payenge sirf jo episodes or videos aapne apni mobile gallery me save kiye honge unhi videos ko aap without ads ke dekh sakte hai.

Purchase Subscription of Mx Player

Agar aap uper diye gaye methods use nahi karna chahte hai aur chahte hai bina data connection disable kiye ya backgroud data disable kiye mx player me ads remove ho jaye to niche diye steps follow kare.

  1. Sabse pehle mx player open karke top left corner me 3 lines par click kare.
  2. Iske baad Sign in option par click karke mx player me sign up kar lein.
  3. Sign up complete karne ke baad Mx gold option par click kare.
  4. Ab next interface me Subscribe now option par click kare.
  5. Iske baad next interface me apna Payment method select karke payement complete kar dijiye.

Mx player ki subscription lene me Rs.199 pay karna hoga jiske baad pure ek saal tak mx player me koi bhi ads aapko show nahi hogi, yani ki aap 16-17 Rs./month ke hisab se mx player ko subscribe kar sakte hai aur mx player par ads ko band kar sakte hai.

I hope ab aap samajh gaye honge ki mx player me ads remove kaise karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.