Google ads me paisa refund kaise lein iss post me mein aapko batane wala hu so agar aap google adwords ke through apne contents ko promote karte hai aur google ads account me added fund ko agar aap wapas refund lena chahte hai to ye post aapke liye hi hai.
Google ads me fund add karna bahut hi aasaan hai debit card, credit cards or paytm wallet etc ke through aap easily google ads me paisa add karke apne content ka campaign run karke ko promote kar sakte hai, lekin agar aapko google ads me add kiye apne fund ko wapas lena hai to ye thoda sa tricky ho sakta hai.
Apne google akds account se paise refund karna chahte hai to yahapar aisa koi option avaialble nahi hai jiske through aap direct apne paise ko recover kar sake iske liye aapko account cancellation ka method use karna hoga tabhi aap google ads me refund le sakte hai pura process janane ke liye niche diye steps follow kare.
Google Ads Me Paisa Refund Kaise Lein – How to Get Refund from Google Ads
1 Sabse pehle Google ads account me login kare.
2 Iske baad top side me Tools and settings option par click kare.
3 Ab kuch options open honge inme Setup section me Preferences option par click kare.
4 Iske baad jo next interface open hoga isme Account status ke dropdown par click kare.
5 Ab dropdown open hone ke baad Cancel my account option par click kare.
6 Iske baad ek popup open hoga finally isme Cancel account option par click kar dijiye.
Lijiye aapka kaam ho gaya account cancel karte hi aapke refund ke liye apply ho jayega aur 1 week se 2 weeks ke ander google ads me add aapka paisa sidhe aapke payment method par refund ho jayega, refund milne ke baad fir se aap apne google adwords account ko reactivate kar sakte hai.
I hope ab aap samajh gaye honge ki google ads me refund ke liye kaise apply karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.
Video Dekhe