FACEBOOK

Facebook Profile Par Lock Kaise lagaye – Enable Facebook Profile Lock

Facebook profile par lock kaise lagaye iss post me mein aapko batane wala hu, so agar aapka facebook par account hai aur apna facebook profile lock karna chahte hai to iss post me bataye gaye steps ko follow karke aap easy apne facebook ke profile page ko lock kar sakte hai.

Facebook par profile lock enable karke aap apne profile ko protect kar sakte hai jiske baad sirf aapke facebook friends hi aapki timeline photos or posts, full size profile picture aur cover photo ko dekh payenge, aur jo aapke facebook friends nahi hai unko aapki sirf 5 profile detai hi show hogi.

Facebook Profile Par Lock Kaise lagaye – Enable Facebook Profile Lock

Agar aap apne facebook ke profile ko lock karna chahte hai aur apni profile details unknown users se hide karna chahte hai to niche diye gaye steps ko follow kare.

1 Sabse pehle apna Facebook account open kare.

2 Iske baad top right corner par 3 lines par click kare.

3 Ab next interface me Settings and privacy option par click karke Settings option par click kare.

4 Iske baad settings page me Audience and visibility section me Profile locking option par click kare.

5 Ab no next interface open hoga isme bottom side me Lock your profile option par click kare.

6 Iske baad bottom side se ek popup open hoga to isme finally Ok option par click kar dijiye.

Iss tarah se aapke facebook profile par lock lag jayega aur ab unknown users aapke profile me jyada profile details nahi dekh payenge aur koi bhi aapki facebook profile photo ka screenshot bhi nahi le payega.

I hope, ab aap samajh gaye honge ki facebook profile par lock kaise lagate hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse social sites par apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.