How to turn on dark mode on google photos yani ki google photos me dark theme enable kaise kare iss post me hum janenge so agar aap google photos user hai aur apne google photos account me dark mode on karna chahte hai aur nahi janate ki google photos par night mode kaise on karte hai to ye post aapke liye hi hai.
Unfortunately google photos me aisa koi option nahi hai jiske through aap dark mode on kar sake lekin iss post me jo trick mein aapko batane wala hu uske through aap easily kuch hi seconds me apne google photo account par dark theme active kar sakte hai, iske liye aapko kya karna hai chaliye step by step janate hai.
Google Photos Me Dark Theme Enable Kaise Kare
1 Sabse pehle apne Phone settings ko open kare.
2 Iske baad Display and brightness option par click kare.
3 Display and brightness option me Dark mode option ko enable kar dijiye.
Lijiye aapka kaam ho gaya ab agar aap apne google photos ko open karenge to vahapar bhi dark theme enable ho jayegi aur aap google photos ko night mode me use kar payenge.
Lekin iss tarike ka use aap tabhi kar sakte hai jab aap android 10 ya isse bhi latest version use kar rahe honge agar old version aapke paas hai to dark theme active karne ke liye aapko niche diye steps follow karna hai.
1 Sabse pehle Phone settings me jaye.
2 Phone ki settings me Developer options par click kare.
3 Ab developer options me System option par click kare.
4 Iske baad ek popup open hoga to isme Always on option ko select kar lijiye.
Iske baad android ke older version me bhi google photos par night mode on ho jayega aur aap night me bhi bina apni aankhon ko nuksan pahuchaye google photos ka use kar sakte hai.
I hope aap samajh gaye honge ki google photos me kis tarah se aap night mode ko on kar sakte hai, agar ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.