FACEBOOK

Messenger Hack Hai Ya Nahi Kaise Pata Kare – Check if Messenger Hacked or Not

Messenger hack hai ya nahi kaise pata kare iss post me mein aapko batane wala hu so agar aap facebook messenger use karte hai aur aapko aisa doubt hai ki kahi aapka messenger hacked to nahi hai to iss post me jo trick mein aapko bataunga uske through aap easily check kar sakte hai ki aapka messenger account hack hai ya nahi aur agar hacked hai to kaise hacker ka access remove karna hai ye bhi aap iss post me sikh jayenge.

Aaye din kai messenger users ke account hack ho jate hai aur unhe pata bhi nahi chalta hai aise me hackers unki har ek messenger activity dekh sakta hai vo kab kis se kya batein karte hai hackers ki iski puri jankari hoti hai isliye ye koi badi baat nahi ki aapka messenger bhi hack ho jaye lekin hack hone par aapko iski jankari honi chahiye aur hacker ka access kaise remove karna hai ye bhi aapko pata hona chahiye agar aap nahi jante hai to niche diye steps ko follow kare.

Messenger Hack Hai Ya Nahi Kaise Pata Kare – Check if Messenger Hacked or Not

1 Sabse pehle Facebook messenger open kare.

2 Iske baad top left corner me apne Profile icon par click kare.

3 Ab next interface me preferences section me Privacy option par click kare.

4 Iske baad next interface me Logins option par click kare.

5 Ab aapke samne messenger par logged in aapke sabhi devices aa jayenge.

  • To inme This login wala aapka device hoga
  • Aur iske alawa koi dusra unknown device aapko show hota hai to iska matlab hai ki aapka messenger hacked hai.

6 Aise me Unknown device par click kare.

7 Ab bottom side se ek popup open hoga jisme aap hacker ki location, last seen time aur access karne ka time dekh sakte hai, iss unauthorised login ko remove karne ke liye bottom side me Log out option par click kar dijiye.

8 Iske baad ek popup hoga to isme finally Log out option par click kare dijiye.

Iss tarah se aap easily check kar sakte hai ki aapka facebook messenger hacked hai ya nahi aur agar hacked hai to kis tarah se unhack karna hai kaise hacker ka access remove karna hai ye bhi aap sikh gaye honge.

I hope messenger account hack hai ki nahi kaise check kare ye jankari aapko helpful lagi hogi agar aapko ye post pasand aayi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

 

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *