Hostgator India Se Hosting Kaise Kharide – Hinglish Help
Hostgator india hosting lene ke liye ek bahut hi famous site hai, aur mene bhi kafi search karne ke baad ye paya ki vakai me ye ek best option hai hosting purchase karne ke liye. Agar aap wordpress par apna blog transfer kar rahe hai to aapko hostng ki jarurat hogi kyuki hum bina hosting ke wordpress par move nahi kar sakte hai.
Hostgator se hosting purchase karna bahut aasan hai, aur sath hi hum apne according alag alag time period ke liye hostng le sakte hai, jaise ki 1 month, 3 months, 6 months, 1 year, 2 years, 3 years aur 5 years. Agar aap first time hosting le rahe hai to aap apne according time period choose kar sakte hai, aur baad me upgrade kar sakte hai.
Hosting lene se hum apni website/blog ki files aur images ko online save karke rakh sakte hai, ye hame online space provide karta hai jaha par hum apni saari files ko upload kar sakte hai.
Hostgator India Se Hosting Kaise Kharide
Hostgator india se hosting lene ke liye agar credit card nahi hai to hum apne debit card ka use kar sakte hai, aur iske customer care me hindi language me baat kar sakte hai, yahi nahi agar aapko iski service pasand nahi aati hai to 1.5 month ke under money back ke liye apply kar sakte hai.
Hosting purchase karne ke liye sabse pehle primary domain ki jarurat hoti hai, aur domain register karne ke liye godaddy best option me se ek hai aur godaddy se domain register kaise karte hai iske liye ye post padhe, vese aap hostgator se bhi domain le sakte hai lekin alag se domain register karenge to jyada better hoga.
To chaliye dosto ab aapka jyada samay naa lete hue step by step jaante hai ki kya karna hai.
Step 1
Sabse pehle hostgator link par jaye aur plan choose kare.
- Hatchling Plan – Isme single domain ke saath unlimited disc space, unlimited files transfer aur unlimited emails ka option milta hai.
- Baby Plan – Iss plan me unlimited disc space, file transfer aut emails ke sath sath unlimited website ka option bhi milta hai, yani ki ek se jyada website bana sakte hai.
- Business Plan – Agar business ko improve karne ke liye website banana chahte hai to business plan aapke liye sahi rahega, kyuki isme hume certification milta hai.
Note:- Agar aap kisi business ke liye website nahi bana rahe hai aur unlimited disc space, files transfer aur emails ke sath unlimited website ka option chahte hai to aapko baby plan ko choose karna chahiye.
- Hosting time period select kare.
- Buy now par click kare.
Step 2
Ab ek pup-up open hoga.
- Yes button dabaye agar pehle se domain hai.
- No button par click kare, agar hosting ke sath domain bhi register karna hai.
Step 3
Ab yes button par click karte hi ek popup khulega.
- Pehle se registered domain name bhare.
- Get codeguard ki tick box se tick mark hataye.
- Continue ki button par click kare.
Step 4
Ab agle page me purchasing detail khulegi isse sahi se check kar lijiye.
- Plan ka time period check kare.
- Total payment kitna hai check kijiye.
- Continue button par click kare.
Step 5
Agli window me apna hostgator account open kare.
- Usernam aur password dale aur login kare.
- Account nahi hai to create an account ki button par click karke bana lijiye.
Step 6
Ab ek form open hoga isse sahi se fill kare.
- Apna name likhe.
- Apna address bhare.
- Country ka name (india) select kare.
- Apne state ka name dale.
- City name dale.
- Postal code likhe.
- 10 digits ka mobile number dale.
- Apni email id likhe.
- Password fill kare.
- Dubara se password daliye.
- Create an account button par click kar dijiye.
Step 7
Ab payment karne ke liye payment option khulega.
- Payment option choose kare.
- I agree tick box me tick kare.
- Pay now button dabaye.
Lijiye payment steps complete hone ke baad aapki hosting purchase ho gayi hai, ab hostgator se aapki email id par ek email aaya hoga, isse sambhal kar save kar dijiye kyuki isme aapke account ke cpanel ka username, password, database username aur password ki detail hogi.
So friends, ummeed hai ki aapko ye post helpfull lagi hogi, aur hostgator par hosting purchase karne ke bare me jaan gaye honge, agar phir bhi koi saval ho to aap mujhe comment ke through puchh sakte hai, aur iske sath hi iss post ko share bhi jarur kare.
Sir maine kai blogs par pada Ki hosting kaise Kharide un blog par bhi coupon code diye ja rhe hai jin me 51% dicount hostgator se hosting kharidne ka dava kar rhe hai mat lab 1 saal ke liye hosting 3000 rs me aa jayegi Kya in coupon code ka use krke hosting khridna chahiye?
ji ha aap bejijhak inn promo codes ka use kar sakte hai, isme koi problem nahi hogi.