Hacked Instagram Account Recover Kaise Kare
How to restore hacked instagram account yani in hacked instagram account recover kaise kare iss post me mein aapko batane wala hu so agar aap instagram users hai aur aapka instagram account hack ho gaya hai aur hacker ne aapka access bhi aapke insta account se remove kar diya hai to iss post me bataye method ke through easily aap apne instagram account ko restore kar sakte hai.
Instagram account hack ho jane ke baad agar hacker aapki registered email id, password aur phone number ko bhi change kar deta hai to bhi aap apne hacked insta account ko wapas restore kar sakte hai lekin aisa tabhi hoga jab aapne apne instagram account me apni khud ki photos or profile photo upload kiya hua hai.
Agar aapne apne instagram account me other photos videos share karne ke sath hi profile photo bhi add ki huyi hai aur apni photos bhi aap instagram par post kar chuke hai to fir hacker le dwara login detail change karne ke baad bhi aap apne instagram account ko recover kar sakte hai kya hai iska poora process chailiye step by step janate hai.
Hacked Instagram Account Recover Kaise Kare
1 Sabse pehke Instagram login page open kare.
2 Iske baad Get help logging in option par click kare.
3 Ab next interface me Can’t reset your password option par click kare.
4 Iske baad next interface me phone number se recovery option aayega, ab kyuki phone number bhi change kar diya gaya hai to yahapar bottom side me Try another way option par click kare.
5 Ab next page me two step verification code enter karne ka option aayega so agar aapne two factor authentication option ko enable kiya hoga aur recovery codes aapko yaad nahi hai to yahapar bhi bottom side me Try another way option par click kare.
6 Iske baad bottom side se ek popup open hoga isme Get support option par click kare.
7 Ab next interface me My account was hacked option ko select karke Next option par click kare.
8 Iske baad next interface me Yes I have a photo of myself in my account option select karke Next option par click kare.
- Note: Agar aapne apne instagram account me apni khud ki photo share ki hogi profile photo add ki hogi tabhi aapka account iss method ke through recover ho payega otherwise nahi.
9 Ab jo next interface open hoga isme apni koi bhi Email address enter karke Submit option par click kare. Issi email id par instagram aapse contact kar payega.
10 Iske baad next interface me apni add ki gaye email address par receive huye Code ko enter karke Confirm option par click kare.
11 Ab video selfie lene ka option aayega yahapar Next option par click kare.
12 Iske baad ek camera circle open hoga isme bataye gaye instructions ke according apn Selfie create karke Submit option par click kare.
13 Iske baad next interface me Done option par click kar dijiye.
- Ab ye process complete hone ke baad 3 se 4 business days me aapki enter ki gayi email id par ek mail bheja jayega jisme instagram account recover karne ka link diya jayega aur uss recovery link ke through easily aap apne instagram account ko recover kar sakte hai.
- Isliye aapko 3 se 4 dino tak wait karna hai aur jaise hi recovery email receive ho jayega aapko mail milne ke 24 hours ke ander hi apne account ko recover kar lena hai kyuki 24 hours ke baad recovery link expire ho jayega.
14 Recover link milne ke baad aapko apne inbox me Recovery email open karna hai.
15 Recovery email me Reset password option par click kare,
16 Iske baad password reset karne ka option aayega to yanapar New password enter karke verify kare aur Reset password option par click kare.
17 Ab jo next interface open hoga usme security code enter karne ka option aayega to yahapar recovery email me diya gaya Security code enter karke Next option par click kar dena hai.
Lijiye aapka kaam ho gaya next option par click karte hi aapka instagram account recover ho jayega aur fir se aapka access aapke instagram account par ho jayega, iske sath hi hacker ka access aapke instagram account se remove ho jayega.
I hope ab aap samajh gaye honge ki apne hacked instagram account ko without email, password aur phone number ke restore kaise karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.
Video Dekhe