How to change UPI pin in google pay yani ki Google Pay UPI Pin kaise change kare iss post me hum janenge so agar aap google ki mobile payment service gpay ka use karte hai aur gpay account ka UPI pin number reset karna chahte hai aur nahi jante ki google pay upi pin reset kaise karte hai to iss post me aapko iski puri jankari mil jayegi.
Aksar kai log apne google pay account ka UPI pin bhool jate hai jiske vajah se vo time par payment nahi kar paate hai ya fir UPI pin kisi ko pata chal jata hai jisse google pay account me security issue ho sakta hai, isliye hume apne gpay account ka upi pin reset kar dena chahiye kaise karte hai chaliye step by step janate hai.
Google Pay UPI Pin Kaise Change Kare
1 Sabse pehle apni Google Pay App open kare.
2 Iske baad top right corner me apne Profile icon par click kare.
3 Ab next interface me Bank account option par click kare.
4 Iske baad next interface me apne Linked bank account par click kare.
5 Ab next interface me Forgot UPI Pin option par click kare.
- Iske baad next interface me apne ATM Card ke Last 6 Digits enter kare.
- Apne ATM Card ki Expiree date enter kare.
- Iske baad Right aero icon par click kar dijiye.
6 Iske baad apne phone me aaya hua OTP code enter karke Next option par click kare.
7 Ab next interface me apna ATM Card Pin enter kare.
8 Iske baad next interface me apna New UPI pin enter karke Next option par click kare.
8 Ab next interface me Same UPI pin enter karke finally Next option par click kar dijiye.
Iske baad resetting process start ho jayega aur kuch hi der me aapke google pay account ka UPI pin reset ho jayega. Iss tarah se aap easily apne gpay account ka upi pin number reset kar sakte hai.
Google Pay UPI Pin Kaise Reset Kare, i hope aap samajh gaye honge, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to ise apne friends ke sath bhi share jarur kare.
Video Dekhe