BLOGGERGOOGLESEO

Google Search Me Post Ko Jaldi Index Kaise Kare

Hello friends, aaj ki post me hum ye janenge ki apni new blog post ko google search engine me jaldi se index kaise kare, aur search engine ki high ranking me kaise laye. Ye koi mushkil kaam nahi hai, iske liye sabse pehle apni website ko search console me submit kare, aur iske sath hi apni site ka sitemap bhi submit kare. Iske baad sirf apni post ka url submit karna hai.

Aap shayd ye jaante honge ki humari new post ko google me index hone me lagbhag do ya teen din ka samay lag sakta hai, lekin agar aap apni new post ki link ko google search console me submit karte hai, to jaldi hi aapki link show hone lagti hai.

Apni nayi post ko jaldi se jaldi search me laane ke liye niche diye steps follow kare.

Google Search Me Post Ko Jaldi Index Kaise Kare

Step 1

Sabse pehle google webmaster tool me jakar login kare, aur apni website ki link par click kare.

Step 2

Ab Agle page me step follow kare.

 

google search

  1. Crawl par click kare.
  2. Fetch as Google par click kare.
  3. Post address ke aage ka URL dale. yourwebsite.com/ ke baad ka url dalna hai, (for example:- hinglishhelp.com/google-search-me-post-ko-jaldi-index-kaise-kare, me baad ka url hai google-search-me-post-ko-jaldi-index-kaise-kare.)
  4. Fetch ki button dabaye.

 

Step 3

Ab aapki new post ki url crawl list me add ho chuki hai. Submit to index par click kare.

google search

Step 4

Ab ek popup window open hogi.

google search

  1. I’m not a robot box par tick kare.
  2. Crowl only this URL par par tick kare.
  3. Go ki button dabaye.

Lijiye dosto aapki post ka link index ho gaya hai, ab aap chahe to google me search karke dekh sakte hai.

 

Ab aap jaan chuke hai ki apni new post ki link ko jaldi se index kaise kare, agar aapka koi saval hai to aap humse comment karke puch sakte hai, aur agar ye post acchi lagi ho to isse share bhi jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

30 thoughts on “Google Search Me Post Ko Jaldi Index Kaise Kare

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *