GOOGLE

Google Search History Delete Kaise Kare

How to delete google search activity yahi ki Google search history delete kaise kare iss post me hum janenge so agar aap apni all google search activity ko clear karna chahte hai aur nahi janate ki kaise karte hai to iss post me aapko google history delete all karne ki puri jankari mil jahyegi.

Apne google account me aap jo kuch bhi search karte hai, image search karte hai uski alag se ek search history create hoti hai jisse aap kabhi bhi dekh sakte hai or all google search activity ko delete bhi kar sakte hai, agar aap clear all google history ke bare me nahi jante to niche diye steps ko follow kare.

Google Search History Delete Kaise Kare

1 Sabse pehle apne Google app open karke login kare.

2 Iske baad top right corner me apne Profile icon par click kare.

3 Ab ek popup open hoga isme Search history option par click kare.

4 Iske baad next interface me aapki all google search activity aa jayegi yahapar par aap apni kisi bhi search history par click karke usse delete kar sakte hai, agar google history delete all karni hai to yahapar Delete dropdown par click kare.

5 Iske baad kuch aur option aayenge jinke through aap bulk me apni google history delete all kar sakte hai yahapar:-

  • Delete today option par click kare agar apni current yani ki aaj ki all google search activity ko clear karna chahte hai.
  • Delete custom range option par click karke aap koi custom date range select kar sakte hai aur uss date range ki all google accout history ko remove kar sakte hai.
  • Delete all time option par click kare agar apni all google history ko remove karna chahte hai.

6 Iske baad activity choose karne ka option aayega yahapar image search aur search dono hi option ko select rehne dein aur Next option par click kare.

7 Ab next interface me aapki all google search activity select ho jayegi finally yahapar Delete option par click kar dijiye.

Iske baad aapki all google search activity remove ho jayegi aur no activity status yahapar aapko show hoga, iss tarah se aap easily appni all google history delete all kar sakte hai.

I hope ab aap samajh gaye honge ki google google history ko delete kaise karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

 

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.