GOOGLE

Google Photos Me Photo Par Lock Kaise Lagaye

Google photos me photo par lock kaise lagaye iss post me hum janenge so agar aap google photos ka use karte hai aur apni kisi photo par lock add karna chahte hai aur nahi janate ki google photos me photo par lock kaise lagaye to iss post me aapko iski puri jankari mil jayegi.

Apni kisi bhi photo ko google photos me aap lock kar sakte hai, locked folder me add kar sakte hai aur kabhi bhi wapas unlock bhi kar sakte hai, agar aap google photos me locked folder use karne ke bare me detail me janana chahte hai to niche diye gaye easy steps ko follow kare.

Google Photos Me Photo Par Lock Kaise Lagaye

1  Sabse pehle Google photos open kare.

2 Iske baad apni uss Photo ko open kare jispar lock add karna chahte hai.

3 Ab top right corner me 3 dots par click kare.

4 Iske baad photo ko customize karne ke options aayenge inme Move to locked folder option par click kare.

5 Ab ek popup open hoga isme bhi Move option par click kar dijiye.

Iske baad aapki selected photo par lock lag jayega aur ye photo locked folder me add ho jayegi, ab locked photo ko google photos open karke koi bhi nahi dekh payega.

Agar aapko locked photo ko dekhna hai ya locked photo ko wapas unlock karna hai to ye kaam bhi aap easily kar sakte hai iske liye kya karna hai niche kaise locked folder me lock huyi photo ko dekh ya unlock kar sakte hai chaliye iske bare me step by step janate hai.

1 Sabse pehle google photo open karke bottom side me Library option par click kare.

2 Iske baad top side me Locked folder par click kare.

3 Ab phone ka lock ko Unlock kare.

3 Iske baad apni locked photo par Click karke open kare.

4 Iske baad photo open ho jayegi aur do option aayenge inme:-

  • Delete option par click karke aap iss locked photo ko delete kar sakte hai.
  • Move option par click kare agar photo ko unlock karna hai.

5 Ab ek popup open hoga isme bhi Move option par click kar dijiye.

Lijiye aapka kaam ho gaya hai ab aapki locked photo unlock ho jayegi aur unlock hokar wapas google photos me show hona start ho jayegi, iss tarah se aap google photo me apni kisi bhi photo ko lock kar sakte hai aur locked photo ko wapas unlock bhi kar sakte hai.

I hope ab aap samajh gaye honge ki google photos me photo par lock kaise add karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

 

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.