Google photos gallery hack ho jaye to kya kare iss post me hum janenge so agar aap google photos use karte hai aur google photos par regularly apni photo video upload karte hai to ye post aapke liye bahut jyada helpful ho sakti hai isliye iss post ko end tak dhyan se jarur padhe.
Agar aap google photos user hai to aapko apni photo aur videos ki privacy ka khas dhyan rakhna chahiye kyunki ho sakta hai aapki google photos gallery koi hacker hack kar le aise me hacker aapke alawa aapki sabhi photos aur videos ko access kar sakta hai aur aapko iska koi pata bhi nahi chalega.
Iske alawa google photos ke ander users ko ek aisa option bhi milta hai jiske through aap apne ek google account se dusre account par apni sabhi photos aur videos ko automatically share kar sakte hai iss feature ka fayda aapka koi janane wala bhi utha sakta hai aur aapki gallery ka access ke sakta hai.
So agar aapko aisa doubt hai hai ki shayad aapki google photos gallery hacked hai koi aur bhi hai jo aapki photos ko dekh raha hai to aise me aap niche bataye steps ko follow karke ye check kar sakte hai ki aapka google photos hacked hai ya nahi aur agar hacked hai to kaise unhack karna hai janane ke liye niche diye easy steps follow kare.
Google Photos Gallery Hack Ho Jaye To Kya Kare
1 Sabse pehle Google photos app open kare.
2 Iske baad top right corner me apne Profile icon par click kare.
3 Ab kuch options aayenge to inme Photos settings option par click kare.
4 Iske baad google photos settings me Partner sharing option par click kare.
5 Ab agar partner sharing option me aapko koi unknown email id show hoti hai to iska matlab hai ki aapki google photos gallery hacked hai.
- Aise me aapki sabhi photos iss unknown I’d par automatically share ho jati hai.
- Iske sath hi photo kaha click ki gayi hai vo location bhi hacker ko pata chal jati hai
6 Iss condition me aapko bottom side me Remove partner option par click karna hai.
7 Iske baad ek popup open hoga to isme finally Remove option par click kar dijiye.
Remove karte hi unknown email id delete ho jayengi aur hacker ka access bhi aapke google photos account se remove ho jayega.
Iss tarah se aap easily apni google photo gallery ko wapas unhack kar sakte hai aur apne google photos account ko safe and secure bana sakte hai.
I hope ab aap samajh gaye honge ki google photos gallery hack hone par kya karna hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.
Video Dekhe