Google Pay Account Kaise Banaye – How to Open Gpay Account
How to open gpay account yani ki google pay account kaise banaye iss post me hum janenge, so agar aap mobile paymebnt service google pay ka use karna chahte hai aur gpay account create karne ke bare me janana chahte hai to aaj ki ye post aapke liye hi hai.
Apne phone me google pay app install karke aap UPI payment kar sakte hai, kisi bhi shop me QR code scan karke payment kar sakte hai, kisi ko bhi online payment send kar sakte hai, gpay par payments receive kar sakte hai, bill pay or mobile recharge ke sath sath aur bhi bahut kuch kar sakte hai.
Iske liye pehle aapko google playstore se google pay app ko install karna hoga, jiske baad aap apne phone me gpay use karke online payment transactions kar sakte hai, lekin iske liye aapko gpay account create karna hoga, aur google pay account create kaise karte hai agar aap nahi janate to niche diye steps follow kare.
Google Pay Account Kaise Banaye – How to Open Gpay Account
1New google pay account create karne ke liye sabse pehle Google Playstore open kare.
2Iske baad playstore se Google pay app install kare.
3Install karne ke baad Gpay open kare.
4Iske baad next interface me apne bank se linked Phone number enter karke Continue option par click kare.
5Ab next interface me google pay ki terms and conditions accept karne ke liye Accept and continue option par click kare.
6Iske baad next interface me apne phone me aaya OTP code enter kare.
- Ab google pay me aapka phone number verify ho jayega aur aapkea new google pay account create ho jayega, google pay login karne ke baad aapko isme apna bank add karna hai.
7Google pay account me bank add karne ke liye top side me Add bank account option par click kare.
8Iske baad alag alag bank accounts ki list open hogi inme apne Bank ko select kare.
9Bank select karne ke baad ek popup open hoga isme Continue option par click kar dijiye.
Iske baad aapke new google pay account me aapka bank account add ho jayega, aur ab aap google pay ke through payment transactions kar sakte hai.
- Scan qr code option par click karke kisi bhi shop me qr code scan karke payment kar sakte hai, aur apne gpay qr code me payment receive bhi kar sakte hai.
- Pay contacts option par click karke apni contact list se kisi bhi contact ko gpay ke through payment kar sakte hai.
- Phone number option par click karke koi bhi phone number enter karke payment kar sakte hai.
- Bank transfer option par click karke kisi bhi bank account par paise transfer kar sakte hai,
- Pay UPI Id or number option par click karke kisi bhi upi id aur upi number par payment kar sakte hai.
- Self transfer option par click karke apne ek bank se dusre bank me money transfer kar sakte hai.
- Pay bills option par click karke credit card bill or other bill payments kar sakte hai.
- Mobile recharge option par click karke apne mobile or other mobile number ko rechard kar sakte hai.
I hope, ab aap samajh gaye honge ki new gpay account create kaise karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to ise apne friends ke sath share jarur kare.