Google Par Complete Search History Ka Kaise Pata Kare
Google par kisi na kisi jaankari ke liye aap kuch na kuch search karte honge. Jyadatar log online apne savalo ka jawab dhundne ke liye google search engine ka use karte hai. Kisi website or app ke bare me jana ho ya kisi location ka pata karna ho, google search result me aap dekh sakte hai. Lekin kya aap janate hai ki google humari harek activity par nazar rakhta hai. Aur humari search activity record karta hai. Google par complete search history ko kaise dekhte hai, aaj iss post me mein aapko batane jaa raha hu. Aapne Google par abtak kya kuch search kiya hai ye janane ke liye niche diye easy steps ko follow kare.
Google Par Complete Search History Ka Kaise Pata Kare
Step 1
Sabse pehle history.google.com link me jaye. Aur sign in par click kar apna google username aur password se login kare.
Step 2
Ab jo page open hoga isme apni abtak ki complete activity dekh sakte hai. Yaha par aapki sari old or new google search history hogi.
- Bundle view par click karke sabh search items dekh sakte hai. Ya phir itemwise dekh sakte hai.
- Delete activity by se search history delete kar sakte hai.
- Yaha se aap other google activity jaise location, konse device me search kiya ye sab dekh sakte hai.
- My account me apne google account setup kar sakte hai.
Iss tarah se aap jaan sakte hai ki aapne google par ab tak kya kuch seach kiya. Google aapki privacy ka khas dhyan rakhta hai. Isliye aapke google account ki history aapke alawa koi or nahi dekh sakta hai.
Ye Bhi Padhe
- Delete Ho Jane Ke Baad Gmail Account Ko Recover Kaise Kare
- Kisi Bhi Website Ka Font Kaise Pata Kare
- Chori Ya Kho Jane Ke Baad Smart Phone Ka Data Delete Kaise Kare
- Apne Google Account Ko Delete Kaise Kare
- Apne Gmail Account Ko Delete Kaise Karte Hai
- Google Adsense Kya Hai Aur Ispar Account Kaise Banaye
Dosto google par complete search history ka pata kaise karte hai, ab aap jaan gaye honge. Agar aapka isse related koi saval ho to comment ke through puch sakte hai. Aur agar ye post helpful lagi ho to isse social media par share bhi jarur kare.
Nice post bhai
thanks