Google Maps Me Address Change or Delete Kaise Kare
Google maps me address change or delete kaise kare iss post me hum janenge so agar aap google maps use karte hai aur google map me aapne apna address add kiya hua hai aur ab apne address ko change karna chahte hai ya delete karna chahte hai aur nahi janate ki google maps me apne ghar ka address kaise change karte hai ya kaise delete karte hai to ye post aapke liye hi hai.
Jitna aasaan google map me apne ghar ka pata add karna hai utna hi aasaan apne home address ko change ya remove karna bhi hai lekin mostly users ko ye pata nahi hota hai ki google maps me add kiye apne home address ko change or delete kaise karte hai so agar aap bhi nahi janate to iss post me aapko iski puri jankari milne wali hai to chaliye ab step by step janate hai.
Google Maps Me Address Change or Delete Kaise Kare
1 Sabse pehle Google maps open kare.
2 Iske baad top right corner me apne Profile icon par click kare.
3 Ab kuch options aayenge inme Settings option par click kare.
4 Settings page me Edit home or work option par click kare.
5 Ab next interface me Home option ke samne 3 vertical dots par click kare.
6 Iske baad kuchh or opinions aayenge inme Edit home option par click kare.
7 Ab google maps open ho jayega yahapar bottom right corner me Current location circle par click kare.
8 Ab aapki current location pin ho jayegi yahapar bottom side me Save option par click kar dijiye.
Iss tarah se aap google maps me apna address change kar sakte hai, ab agar aap google maps se apne home address ko remove karna chahte hai to iske liye niche diye steps follow kare.
Google Maps Me Address Delete Kaise Kare
1 Sabse pehle Google maps open karke top right corner me apne Profile icon par click kare.
2 Iske baad jo options aayenge inme Settings option par click kare.
3 Ab settings page me Edit home or work option par click kare.
4 Iske baad next interface me Home option ke samne 3 vertical dots par click kare.
5 Ab jo options aayenge inme Remove home option par click kar dijiye.
Iss tarah se aap easily google maps me added apne home address ko remove kar sakte hai.
I hope ab aap samajh gaye honge ki google maps me apne ghar ka pata change kaise karte hai ya ghar ka pata delete kaise karte hai, agar ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.