Google Map Offline Use Kaise Kare – How to Use Google Maps Without Internet
How to use google maps without internet yani ki Google map offline use kaise kare iss post me mein aapko batane wala hu, so agar aap android user hai aur apne android phone me google maps ka use karte hai aur google map ko offline use karne ke bare me nahi janate hai to ye post aapke liye hi hai.
Google maps ko offline use karne ki iss trick ka use aap tab use kar sakte hai jab aap kahi ja rahe ho aur aapne apne route ka navigation google map par set kar liya ho, aise me agar aap drive karte time kisi aisi location me pahuch jate hai jahapar network week ho, to vahapar google maps kaam nahi karega.
Aur aapke set kiye navigation me aapko sahi se direction show nahi hogi aise me better hoga ki aap jiss direction me ja rahe hai uska navigation aap without internet ke access kar sake, aur google maps me bina internet ke apne navigation access kaise kar sakte hai chaliye iss post me step by step janate hai.
Google Map Offline Use Kaise Kare – How to Use Google Maps Without Internet
1 Sabse pehle Google maps app open kare.
2 Ab top side me Search box apna Destination search kare.
3 Iske baad aapke destination ka map aayega to yahapar bottom left corner me Destinations button par click kare.
4 Ab next interface me aapki navigation ka map aa jayega to yahapar top left corner me Back option par click karke aapko back aa jana hai.
5 Iske baad top right corner me apne Profile icon par click kare.
6 Ab kuch options aayenge to inme Offline maps option par click kare.
7 Ab next interface me Select your own map option par click kare.
8 Iske baad jo navation aapne set kiya tha uska pura area map me aapke samne aayega to yahapar bottom right corner me Download option par click kare.
9 Ab ek popup open hoga to isme Download now option par click kare.
Iss tarah se aapka navigation map download ho jayega aur ab aap bina internet ke apne navigation area ke aaspaas kuch bhi search kar sakte hai, offline apne navigation ka use kar sakte hai.
I hope ab aap samajh gaye honge ki google map offline kaise use karte hai agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath share jarur kare.