Google Map Ke Through Other Location Ka Distance Kaise Pata Kare
Agar aapko apni gadi se kahi jana ho aur aapko sahi se andaza na ho. Ki aapki location se aapki destination kitna kilometer hai ya phir kaun se rasta aapke liye short padega. To aise me aap google map ka use karke apni destination ki sahi doori pata kar sakte hai. Aur iske sath different different raste se apne destination ka distance kilometers me pata kar sakte hai.
Yahi nahi aap apni location ki beech other route ka distance bhi google maps me pata kar sakte hai. Petrol diesel ke badhte damo ke chalte agar aapko apne route ka sahi se pata na ho. Aur aapko destination tak pahuchne ke liye faltu me ek-do kilometer extra lag jaye. Yo ye aapki jeb par thoda bhari pad sakta hai aur aapka fuel aur time bhi waste hoga.
Isliye navigation ke liye aap apne android mobile ya computer/laptop me google map ka istemal karke. Aasani se kisi bhi location ki doori ka pata karke. Vaha easy route se pahuch sakte hai aur apne samay aur fuel dono ki saving kar sakte hai.
Best route ka pata karne ke liye google map ka use karna aapke liye bahut hi faydemand hai. Isliye iss post me mein aapko google maps ke bare me thodi extra jankari dene wala hu. To chaliye shuru karte hai aur janate hai ki computer. Ya mobile me googlemap ke through other locations ka distance kaise pata kare.
Google Map Ke Through Other Location Ka Distance Kaise Pata Kare
Google map ke jariye kisi dusri location ka pata karna bahut hi easy aur simple hai. Agar aapko pata nahi hai to niche mein kuch easy steps aapko batane wala hu. Jisko follow karke aap apne computer ya android mobile me other location ka distance easily pata kar sakte hai.
Computer or Laptop
Computer ya laptop me kisi dusre jagah ki duri pata karne ke liye niche diye easty steps follow kare.
Step 1
Sabse pehle Google map ki website me jaye aur apne starting point yani ki apni location ko thoda zoom kare.
- Ape starting point par right click kare.
- Measure distance par click kare.
Step 2
Ab next step me aapko apna destination yani end point ko choose karna hai.
- Apni destination par click kare. Click karte hi start point aur end point ke beech me ek line aur black circle show ho jayega.
- Yahapar aap apne destination ka total distance (km) dekh sakte hai.
- Desination ke beech me location wise distance distance check kar sakte hai.
To iss tarah se aap apne laptop ya computer me googlemap ki help se kisi bhi sthan ki doori check kar sakte hai.
Android Mobile
Android mobile me apni destination ki doori pata karne aur best route janane ke liye niche diye steps ko follow kare.
- Sabse pehle apne mobile phone me Googlemap ki application open kare.
- Ab apne starting point par tap kare. Tap karte hi ye red pin se mark ho jayega.
- Ab bottom side me aapki selected location ka name show hoga ispar touch kare.
- Iske baad ek pop-up show hoga isme measure distance ke option par touch kare.
- Ab map ko drag kare aur apne destination ko select kare.
- Bottom right side me Add+ ke button par touch kare.
- Add+ button par touch karte hi aapki destination k total distance (km) show ho jayega.
Video Dekhe
I hope aap samajh gaye honge ki googlemap ke through kisi other location ka distance kaise pata karte hai. Agar aapko ye jankari acchi lagi ho to isse apne friends ko bhi share kare.
Amazing blog