X
    Categories: GOOGLE

Google Gmail Address Ko Change Kaise Kare – Forward Gmail Email

Google gmail address ko change kaise karte hai aaj mein iss post me aapko bataunga. To agar aap bhi apna gmail address badalna chahte hai to iss post me bataye simple aur easy steps ko follow kare.

Gmail address ko change karne ke bahut si vajaho me se ek aapki privacy ho sakti hai. Google gmail address ko badalne ka sabse bada fayda aapki privacy ko lekar milta hai. Agar aapki gmail address ka kisi ko pata chal gaya hai. Aur vo iska misuse kar raha hai to aap isse bach sakte hai.

Actually google gmail me aisa koi option nahi hai jiski help se aap apna gmail address ko badal sake. Lekin aap ek new gmail account create karke apne old gmail account se link kar sakte hai. Aur apni old gmail account ki sabhi email ko receive kar sakte hai. Iss process me aapko apni purani gmail account par mail forwarding option ko enable karna hoga.

Google gmail me mail forwarding option enable karne ke baad jo koi bhi aapki uss gmail email par mail send karega. To vo sabhi mails aapki new gmail email par redirect ho jayegi. Aur aap apni gmail new account par unn sabhi email ko check kar sakte hai.

Google Gmail Address Ko Change Kaise Kare – Forward Gmail Email

Google gmail address ko change karna bahut hi aasan hai. Gmail par mail forwarding option ko enable karne ke liye niche diye easy steps ko follow kare.

Step 1

Sabse pehle apne google gmail account me login kare.

 

  1. Setting gear icon par click kare.
  2. Settings par click kare.

 

Step 2

Ab jo next window open hogi isme aap google gmail settings me pahuch jayenge.

 

  1. Forwarding and POP/IMAP tab par click kare.
  2. Add a forwarding address ke button par click kare.

 

Step 3

Ab ek popup box open hoga isme new gmail address ko enter karna hai. Jiss gmail address par aap mail receive karna chahte hai.

  1. Apna new google gmail address enter kare.
  2. Next button par click kare.

 

Step 4

Ab ek aur popu box open hoga. Isme aapko new google gmail address par mail forward karne ke liye pucha jayega. Yahapar Proceed ke button par click kare.

 

Step 5

Ab aapki gmail address par ek mail bheja jayega jisme email forwarding ke liye confirmation code hoga. Iss code ko copy kar lijiye.

 

Step 6

Iske baad code verification karne ke liye wapas gmail settings page par jaye.

  1. Box me code paste kare.
  2. Verify ke button par click kar dijiye.

 

Step 7

Ab aapke new gmail address par mail forwarding option enable ho chuka hai. Yahapar niche diye steps follow kare.

  1. Mail forwarding ke check box me tick kare.
  2. Save changes ke button par click kar dijiye.

 

Lijiye aapki new gmail email par mail forwarding option enable ho gaya hai. Ab aap apni new gmail email par old gmail account ki sabhi mail receive kar sakte hai.

 

I hope aapko google gmail address ko change or forward karne ki ye jankari helpful lagi hogi. Agar aapka koi sujhav ya sawal ho to comment jarur kare. Aur iss jankari ko share karna bilkul na bhule.

 

Video Dekhe

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More