Google Gmail App Se Logout Kaise Kare – How to Remove Account from Gmail App
Google gmail app se logout kaise kare aaj ki iss post me mein aapko bataunga, so agar aapka google gmail me account hai aur gmail app ka use karte hai to aapne dekha hi hoga ki gmail app me logout karne ka koi option hi nahi hai.
Isliye iss post me mein aapko ek aisa tarika batane wala hu jiske through aap gmail app me logged in apne gmail account ko easily logout kar sakte hai, iske liye aapko niche bataye gaye steps ko follow karna hai, to chaliye start karte hai.
- Deleted Google Contacts Ko Recover Kaise Kare
- Google Password Manager Se All Sites Password Kaise Check Kare
Google Gmail App Se Logout Kaise Kare – How to Log Out from Gmail App
1 Sabse pehle apne Gmail app ko open kare.
2 Ab top right corner me apne Profile icon par click kare.
3 Iske baad next interface me aapke other gmail account bhi aa jayenge agar aapne multiple account ko login kiya hoga, yahapar bottom side me Manage account on this device option par click kare.
4 Ab next page me aapki sabhi gmail Id’s aapko show hogi to jiss aacount ko remove karna hai usse Select kare.
5 Select karne ke baad next interface me gmail id ke just niche Remove account option par click kare.
6 Ab ek popup open hoga jisme message hoga ki “agar aap apne device se gmail account ko remove karte hai to aapke sabhi messages, contacts or other data delete ho jayenge” to yahapar finally Remove account option par click kar dijiye.
Ab aapka gmail account aapke phone ki gmail app se remove ho jayega, iss tarike aap gmail app me logged in apne kisi bhi gmail account ko logout kar sakte hai.
I hope, ab aap samajh gaye honge ki google gmail app se logout kaise karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse social sites par apne friends ke sath bhi share jarur kare.
Video Dekhe