Computer or laptop me hindi bolkar type kaise kare aaj hum iss post me janenge. Agar aap ek blogger hai ya koi aisa kaam karte hai jisme aapko computer ya laptop me hindi me typing karna padta hai, to iss trick ke through aapka kaam kaafi aasaan hone wala hai.
English ke mukable hindi me type karna thoda sa mushkil ho sakta hai aise me kitna accha hoga ki koi tarika ho jisme aap hindi me bolein aur aapke computer par hindi me type ho jaye.
Isliye iss post me mein aapko google drive ki ek aisi trick batane ja raha hu, jiske through aap na sirf hindi me balki aur bhi kai language me bolkar computer ya laptop par hindi me likh sakte hai. To iske liye aapko kya karna hai chaliye niche diye steps me janate hai.
Computer or Laptop Me Hindi Bolkar Type Kaise Kare – Google Drive Voice Typing Tool
Google drive voice typing tool ki help se aap apne computer me bina koi software install kiye hindi me bolkar typing kar sakte hai, puri jankari ke liye niche diye gaye steps follow kare.
1 Sabse pehle Google drive open karke apni email id se login kare.
2 Top left hand side me My drive ke dropdown par click kare.
3 Ab kuch option aayenge to yahapar Google docs ke option par click karna hai.
4 Iske baad google document file open ho jayegi yahapar Tools option par click kare.
5 Ab kuch options open honge inme se Voice typing par click kare.
6 Ab left side me ek Mike ka icon aa jayega isme Language dropdown par click kare aur hindi select kare. Aap chahe to other languages bhi choose kar sakte hai.
7 Language select karne ke baad Mike par click kare.
8 Mike start hone ke baad ab aapko jo kuch bhi document me type karna hai usse apne Headphone speaker se bolna hai.
Jaise jaise aap bolte jayenge document file me automatically typing hoti jayegi. Iss tarah se aap bina type kiye kisi bhi language me bolkar type kar sakte hai.
I hope, ab aap samajh hi gaye honge ki google drive voice typing tool ki help se hindi me bolkar computer ya laptop me typing kaise karte hai.
Agar ye jankari aapko helpful lagi ho to isse apne friends ke sath social sites par share jarur kare. Aur agar aapka koi saval ya sujhav ho to comment box me jarur puche.