GOOGLE

Google Docs me Watermark Kaise Add Kare

How to add watermark in google docs yani ki google docs me watermark kaise add kare iss post me hum janenge, so agar aap google docs ka use karte hai aur apne google documents me kisi pdf file me water mark add karne ke baare me janana chahte hai to yahapar iski puri jankari aapko mil jayegi.

Google docs app me aisa koi option aapko nahi milega jiske through aap kisi bhi pdf file me watermark image ya watermark text add kar payen, iske liye aapko google chrome ka use karna hoga tabhi aap google docs ki site login karke pdf me water mark image or watermark text add kar payenge. Iske liye niche steps follow kare.

Google Docs me Watermark Kaise Add Kare

1 Sabse pehle apne phone me Chrome browser open kare.

2Iske baad Google docs ki site open kare.

3Ab top righ corner me 3 dots par click karke Desktop site option ko select kare.

4Google docs ki site desktop mode me open karne ke baad top right corner me Sign in option par click kare.

  • Ab agar aap already google me login honge to google docs site me aap login ho jayenge.
  • Iske baad uss pdf file ko select kare jisme Water mark image or watermark text add karna chahte hai.

5Iske baad top side me Insert tab par click kare.

6 Insert option par click karne par jo option aayenge inme Watermark option par click kare.

7Iske baad pdf file me watermark add karne ka option aayega yahapar;

  • Image option ko select karke aap apni gallery ki kisi photo ya image ko watermark bana sakte hai.
  • Text opton par click karke text watermark pdf me add kar sakte hai.

8Agar water mark image add karna chahte hai to yahapar Image section me Select image option par click kare.

9Iske baad ek popup window open hogi isme Browse option par click kare.

10 Ab bottom side ek popup open hoga isme Media picker option par click kare.

11Iske baad apni gallery se apni koi Photo select kare.

12Image select karne ke baad Done option par click kar dijiye.

13Ab agar aapko pdf me text water mark add karna hai to top right hand side me Text option par click kare.

14Iske baad Insert text ki field me apna Text enter kare.

15Finally watermark add karne ke liye Done option par click kar dijiye.

Iske baad aapki pdf file me text watermark add ho jayega, iss tarah se aap watermark image or watermark text ko apni kisi bhi pdf file me add kar sakte hai.

I hope, ab aap samajh gaye honge in google docs me water mark kaise add karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.