GOOGLE

Google Chrome Settings Reset Kaise Kare – How to Reset Chrome Settings to Default

How to reset chrome settings to default yani ki google chrome settings reset kaise kare iss post me hum janenge, agar aap apne google chrome account me sabhi settings ko apne according custome kar chuke hai aur wapas default setting reset karna chahte hai to iss post ko end tak jarur padhe.

Google Chrome Settings Reset Kaise Kare – How to Reset Chrome Settings to Default

1 Sabse pehle apne Phone settings ko open kare.

2 Iske baad All application/application manager option par click kare.

3 Ab next interface me aapke phone ki sabhi application aapke samne aa jayengi to inme se Chrome app par click kare.

4 Iske baad google chrome app ki information aayegi to yahapar Storage option par click kare.

5 Ab next interface me 2 option aayenge to inme pehle Clear cache option par click karke Manage storage option par click kare.

6 Iske baad next interface me kuch or options aayenge to yahapar bottom side me Clear all data option par click kare.

7 Ab ek popup open hoga to isme Ok option par clic kare.

8 Iske baad back aaye aur thoda niche ki taraf scroll karke Set as default option par click kare.

9 Ab next interface me Clear defaults option par clic kare.

10 Iske baad phone ki settings se bahar aaye aur Chrome browser open kare.

11 Ab chrome new downloaded app ki tarah open hoga to isme Accept & continue button par click kare.

12 Iske baad next interface me bottom side me Next button par click kare.

13 Ab next page me google account sync karne ka option aayega to yahapar bottom right side Yes I’m in option par click karke aap account sync kar sakte hai otherwise No, thanks option par click kar dijiye.

Lijiye aapka kaam ho gaya ab aapke google chrome ki sabhi settings reset ho gayi hai, iss tarah se easily aap apne chrome browser ki customized settings ko fir se reset kar sakte hai.

I hope, aap samajh gaye honge ki google chrome settings ko reset kaise karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

One thought on “Google Chrome Settings Reset Kaise Kare – How to Reset Chrome Settings to Default

  • आपने बहुत अच्छा लेख लिखा है, अपने ज्ञान को हमारे साथ इस प्रकार साझा करते रहें, धन्यवाद

    Reply

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.