Google Chrome All Data Clear Kaise Kare – How to Delete Chrome History
How to delete chrome history yani ki google chrome all data clear kaise kare iss post me mein aapko batane wala hu, so agar aap nahi janate hai google chrome par complete history ko remove kaise karte hai to iss post me aap sikh jayenge ki kaise aap kuch hi steps me apne google chrome ke all data ko remove kar sakte hai.
Google chrome par aap jinn sites par visit karte hai unki alag se history create hoti hai aur cookies aur cache file create hoti hai iske sath hi jo kuch bhi aap chrome par search karte hai uski history bhi google chrome par generate hoti rehti hai aise me agar aap chrome ki sabhi cached aur cookies files aur history ko clear karna chahte hai to iss post me bataye gaye easy steps ko follow kare.
Google Chrome All Data Clear Kaise Kare – How to Delete Chrome History
1 Sabse pehle Google chrome open kare.
2 Ab top right corner me apne profile icon ke upar Up aero icon par click kare.
3 Iske baad kuch options open honge to inme History option par click kare.
4 Next interface me aapki sabhi history aapke samne aa jayegi to yahapar top side me Clear browsing data option par click kare.
5 Ab jo next interface open hoga isme top side me Advanced tab par click kare.
6 Next inteface me kuch options aayenge to yahapar sabse pehle time range ke samne All time select kare:
- Browsing history option select karne par aapki sabhi browse ki gayi history delete ho jayegi.
- Cookies and site data option select karne par sabhi cookes aur alag alag sites ka data remove ho jayega.
- Cached images and files option select karne par jitni files aur images ki cache files create hoti hai vo sabhi remove ho jayegi.
- Saved passwords option select karne par aapka password bhi remove ho jayega.
- Autofill form data option select karne par jo alag alag sites par jakar aap koi form fill karte hai aur aapki details jaise ki name, address, email or phone number automatically fill ho jate hai vo remove ho jayega.
- Site settings option select karne par aapki jitni bhi site settings hai vo sabhi delete ho jayegi.
Yahapar aap browsing history, cookies and site data aur cached images and files option ko select kare aur bottom site me Clear data button par click kare.
7Ab ek popup open hoga to isme Clear option par click kar dijiye.
Iske baad clearing browsing data process start ho jayega aur aapki history ke according iss process me thoda time lag sakta hai isliye thoda wait kare aur jaise hi ye process complete ho jayega aapke google chrome ka all data clear ho jayega.
I hope ab aap samajh gaye honge ki google chrome ke all data ko clear kaise karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.