Google Authenticator Kaise Use Kare
Google authenticator kaise use kare iss post me hum janenge so agar aap apne google account ki security ko aur bhi jyada strong banana chahte hai apne google account ko hack hone se protect karne ke liye google authenticator app ka use karna chahte hai aur nahi janate ki google authentication kaise istemal karte hai to ye post aapke liye hi hai.
Apne google account ko agar hack hone se bachana chahte hai to aapko google par two factor authentication ko enable karna hoga two step verification option ko enable karne ke baad jab bhi aap kisi new device me apne google account ko login karenge to aapke register phone number or email id par ek verification code aayega aur jab tak aap verification code enter nahi karenge tab tak uss new device me aapka google account login nahi hoga.
Registerd mobile number or email id ki tarah hi aap google authenticator app ka use kar sakte hai aur usme generated code (jo ki kuch seconds ke liye hi valid rehta hai) ko new device me login karne or apne hi device me logout karke login karne ke liye use kar sakte hai jo ki most safer aur more secure method hai, abtak aap samajh gaye honge ki google authentication kis tarah se aapke account ko secure kar sakta hai ab jaan lete hai ki google authenticator kaise istemal kare.
Google Authenticator Kaise Use Kare
1 Sabse pehle Google playstore open kare.
2 Iske baad playstore se Google authenticator app install karke open kare.
3 Ab nex interface me Get started option par click kare.
4 Iske baad google account link karne ke 2 options aayenge.
- Scan a QR code.
- Enter a setup key
Filhal yahapar aapko kuch nahi karna hai, iss window ko aise ho open rekhe.
5 Ab chrome browser open karke apne Google account me login kare.
6 Login karne ke baad top right corner me apne Profile icon par click kare.
7 Iske baad Google account option par click kare.
8 Ab next interface me Security tab par click kare.
9 Iske baad Two factor authentication option par click kare.
10 Ab password re-enter karne ka option aayeg to yahapar apna Google password fir se enter kare.
11 Iske baad jo next interface open hoga isme thoda niche scroll karke Authenticator app option par kare.
12 Iske baad next interface me Setup authenticator option par click kare.
13 Ab next interface me ek QR code open hoga, agar aap same device me authentication on kar rahe hai to QR code ke niche Can’t scan it option par click kare.
14 Iske baad Security keys aapke samne aayengi to inhe notepad me dhyan se note kar lijiye.
15 Ab wapas Google authenticator open karke Enter a setup key option par click kare.
16 Iske baad jo next interface open hoga usme niche diye option aayenge.
- Google account option me apni gmail id enter kare.
- Your keys option me note ki gayi sabhi security keys ko dhyan se enter kare.
- Type of keys ke drop-down par click karke koi bhi ek option select kar sakte hai otherwise skip kar sakte hai.
- Add option par click kar dijiye.
17 Ab aapka google account authenticator app se link ho jayega sath hi ek Code bhi aapko milega iss code ko note kar lijiye.
18 Iske baad wapas Google account page ko open kake bottom right corner me Next option par click kare.
19 Ab next interface me note kiya Code enter karke Verify option par click kar dijiye.
Lijiye aapka kaam ho gaya ab aapka google account completely google authenticator se link ho jayega aur ab jab bhi aap apne account se logout karke login karenge ya kisi new device me apna google account open karenge to authenticator app me generated security code ko apko enter karna hoga tabhi aap apne google account ko access kar payenge otherwise nahi.
Iss tarah se aap apne google account ko pehle se zyada more secure aur more safer bana sakte hai aur hack hone se account ko protect kar sakte hai, iske baad koi other unknown user aapka google account hack nahi kar payega kyuki hack karne ke liye security code ki jarurat hogi jo ki aapke hi device me installed google authenticator app me generate hoga vo bhi kuch hi seconds ke liye.
I hope ab aap samajh gaye honge ki apne google account par google authenticator set-up kaise karte hai agar ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.