Google Analytics Me Account Banakar Blog Se Kaise Jode
Visitors ko kya pasand hai aur kis post par traffic jyada hai, iski jaankari hona humare liye bahut jaruri hai, kyuki iski help se hum apni site par traffic ko aur bhi jyada increase kar sakte hai.
??Blog Ki Traffic Kaise Badhaye
Apni site ki traffic par nazar rakhne ke liye hume ek aisa tool ki jarurat padegi jo humare visitors ki har moment ko track kar sake, for example, total visitors ki detail, new and old visitors ki percentage kitni hai, kis browser ka use kitna hua, kis website se kitne visitors aaye, kaun si country se kitne aaye, total pageview kya hai, aur bounce rate kya hai etc, iske alawa bhi kai tariko se track kar sakte hai.
Google Analytics Me Account Kaise Banaye
Visitors ko track karne ke liye sabse best tool hai google analytics, aaj hum issi ke baare me jaanenge, to chaliye step by step dekhte hai kya aur kaise karna hai.
??Broken Links Kaise Remove kare ,
Step 1
Sabse pehle google analytics sign in kijiye.
Step 2
Ab agli window me sign up tab click kare.
??Blogger Me Feedburner Feed Kaise Add Kare
Step 3
Ab ek form open hoga, isme jiss site ko add karna hai uski detail bhare.
1. Account name dale.
2. Website name bhare.
3. Apni website ka url dale.
4. Topic choose kijiye.
5. Country (India) select kare.
6. Tick box me tick rehne de.
7. [Get trackig id] button ko click kare.
??Google Search Console Me Site Submit Kare
Step 4
Get tracking id button click karte hi ek popup window khulegi.
1. Country ka name (india) select kare.
2. Terms & conditions padhe phir [i accept] button click kare.
??Google+ Me Account Kaise Banaye
Step 5
Iske baad agli window me ek tracking id milegi, usse copy kare.
Google Analytics Ko Blog Se Kaise Jode
Step 6
Ab blogger me login karna hai.
1. Settings me jaye.
2. Other par click kare.
3. Tracking id yaha dale.
4. Save settings button par click kare.
??Google Analytics Ko Adsense Account Se Kaise Connect Kare
Lijiye aapka google analytics me account ban chuka hai aur blog me add bhi ho gaya hai, ab aap apni website ki tracking detail dekh sakte hai aur visitors ki har ek moment ko track kar sakte hai.
To aapko google analytics ke baare me yeh jaankari kaisi lagi, apne comment ke dwara hume jarur bataye, aur agar kahi par koi dikkat ya pareshani aa rahi ho to saval puch sakte hai. Agar yeh post acchi lagi ho to isse social network par share bhi jarur kare.
Aapka blog dekhkar bahut khushi hui, maine pahli baar hindi ko english main padha aur bahut achachha laga.
ab log jo teknikali strong nhi hain wo bhi aapka blog padh kar internet se jood sakte hain.
Dhanvad.
Thanks satish ji
nokia flashfile free Download latest version