X

Google Adsense Account Kaise Banaye

Internet se paise kamane ke liye google adsense program best resources me se ek hai, jabki iske alawa bhi bahut sare ulternate resources hai jinse hum online earning kar sakte hai but google adsense inn sabse jyada paise pay karta hai.

 

Adsense Se Earning Kaise Hoti Hai

Google adsense publishers ke liye ek better advertising program hai, aur ye google ka hi ek popular product hai, jisko hum apne blog/website me use karke paise kama sakte hai.

Adsense program humare blog/website me ads ko post karta hai, aur jab bhi koi visitors inn ads par click karta hai to humari earning hoti hai, aur jitne jyada ads par click honge earning bhi utni hi jyada hogi.

Youtube me video upload karke aur adsense se connect karke bhi hum paise kama sakte hai, but iske liye youtube videos ko monetize karna jaruri hota hai, agar aapko youtube video monetization ke bare me pata nahi hai to youtube video ko monetize kaise kare aur adsense se kaise jode iss post ko dhyan se padhe.

 

Adsense Account Ke Liye Kya Kya Chahiye

Sabse pehle adsense terms and conditions ko dhyan se padh lijiye, aur niche diye requirements ko pura kare.

  • Aapki age 18+ honi jaruri hai.
  • Apka blog/website honi chahiye.
  • Blog/website ka navigation aur design ka professional look hona chahiye.
  • Blog me contact us, about us, terms and conditions aur privacy policy page banakar publish kare.
  • Aur blog me quality content ka use kare.

 

 

Adsense se paise kamane ke liye isme account ka hona bahut jaruri hai to aaj ki post me hum janenge ki google adsense account kaise banate hai.

 

Google Adsense Account Kaise Banaye

Niche diye gaye easy steps ko follow karke aap easily adsense acccount bana sakte hai, lekin thoda carefully apni sari jaankari bhare, taki infuture koi problem na ho, to chaliye ab aapka jyada samay na lete hue step by step jaante hai ki kya karna hai.

 

 

??Google Plus Me Account Kaise Banaye

Step 1

Sabse pehle adsense.com me click kare, aur sign up now button dabaye.

 

 

 

??Google Search Console Me Website Submit Kaise Kare

Step 2

Ab ek new page open hoga.

1. Pehle se login google account se adsense account banana hai to sign in button par click kare.
2. Agar new id se adsense account banana hai to create account button par click kare.

 

 

 

 

??Blog Ke Liye XML Sitemap Kaise Banaye

Step 3

Ab agle step me website name aur content language set kare.

 

  1. My website me apni site ka url dale.
  2. Content language me apne blog language select kare.
  3. Save and Continue button par click kare.

 

 

??Google Search Console Me Post Ko Jaldi Index Kaise Kare

Step 4

Ab ek form khulega, jisme aapko apna address sahi sahi bharna hai, kyuki issi address me adsense ki taraf se by post aapko ek code bheja jayega, aur uss code ko apne adsense account me dalkar verify karna hai, iske baad hi adsense aapko payment karega.

  1. Country or territory me apni country ka name (india) dale.
  2. Timezone set kare, india ke liye 5:30 timezone choose kare.
  3. Account type select kare, individual ya business karna hai to business choose kare.
  4. Name and Address me company name dale, jiss name se bank me account hai.
  5. Yaha par apna address sahi se bhare.
  6. Primary contact me apna mobile number dale, isme aapka name aur email pehle se dali hui hogi.
  7. Adsense account banane ka purpose select kare, blog/website ke liye online forum or blog select kare.
  8. Sabhi yes ki tickbox me tick kare.
  9. Finally submit my applications button par click kare.

 

Lijiye aapka google adsense account ban gaya hai, ab thoda wait kijiye ek week ke under aapke gmail id par adsense account approved hone se related ek message aayega.

 

??Google Analytics Me Account Banakar Blog Se Kaise Jode

??Google Analytics Ko Adsense Se Kaise Connect Kare

 

Ummeed hai aapne upar diye steps ke through adsense account banana jaan liya hoga, phir bhi koi saval ho to aap comment karke puch sakte hai, aur post acchi lagi ho to isse niche diye social sharing button ki help se apne friends ko share jarur kare.

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

View Comments (15)

  • Hello sir AdSense apply krne ke liye kitne word ka post hona jaruri hai aur kitne post hona jaruri hai. Apne kitne post me apply kiya tha pks rply

    • Agar apki site par quality contents hai to 7-8 post me hi aapka adsense approved ho sakta hai, lekin iske liye website ka navigation sahi hona chahiye aur sath hi sath kuch page banakar bhi publish karne honge jaise contact us, privacy policy, terms and conditions. aur post me words ki baat kare to vo kam se kam 300 words ki ek post honi jaruri hai, jyada se jyada aap kitne bhi words likh sakte ho. 1000 words hai to seo ke liye bahut better hai. total milakar dekhe to aapke blog par 5000-10000 contents hone chahiye.

  • Ye Site navigation kya hai ??? And thanks apki ye site bahut achhi hai apki baate smjhme bahut assan hai. So for this articles

    • Navigation means jo site ka design hota hai jaise home about us aur kon se tab me kiss se related post link h. Visitors ko aasani se pata lag jaye ki aapki site k andar kaha par kya h etc

    • Bahut details mein jaankari dee aapne sir, but en sawalon ka jawab dijiye plz🙏
      1.Hinglish blog per approval mil jaata hain kya? Aap meri koi post dekhkar bataye, mein Jo Hinglish use kar rha hoon vo sahi hain yaa nhi
      2. Mene 1 post abhi coronavirus per likhi hain content original hain, adsense approval mein koi problem tou nhi aayengee naa?

      • hinglish blog approval easily mil jata hai aur hindi par bhi lekin aapka blot hindi me na ki hinglish me isliye jo main focus keywords hai unhe english me likhiye.
        corona virus par aap post likh sakte hai isme koi dikkat nahi hai but ho sakta hai ki unpar ads show na ho yani ki aap usse earning nahi kar sakte but blog par koi fark nahi padega.

        • Thank you so much sir for fast reply. But 2 weeks se upper ho gye hain abhi tak adsense team ka reply nhi aaya? we are reviewing your site " msg dikh rha hain.

  • Sir aap mera site dekh ke btaye ki kb mujhe AdSense ke liye apply krna hoga pls.

  • Sir apne link kaise add krte h touch krte hi open hone lgta h and thanks sir

    • suraj ji aapko disapprove ka ek email aaya hoga, uske according apni site me correction karke dubara se apply kijiye.

  • sir jab tak pin verify nhi hoga tabtak ham income hoga ki n. jaise ki. AdSense apply kar diye or email par msg bhi as gya. to us dine she. income hogi. ki n