Aapka google account kaha kaha login hai kaise pata kare iss post me mein aapko batane wala hu so agar aap google user hai aur apne google account ki security ka khas dhyan rakhte hai to aapko ye pata hona chahiye ki aapke google account me kitne sessions active hai aur unn sabhi sessions me koi unknow device hai ya nahi iss method ke through aapko ye bhi aapko pata lag jayega.
Apne google account ki security purpose ke liye aapko time to time niche bataye gaye steps ko follow karte rehna chahiye kyuki aap iske through easily ye check kar sakte hai ki google account hack hua hai ya nahi aur agar google account hacked hoga to hacker ka access apne google account se kaise remove karna hai ye bhi aap iss post me sikh jayenge to chaliye shuru karte hai.
Google Account Kaha Kaha Login Hai Kaise Pata Kare
1 Sabse pehle Google app open karke login kare.
2 Iske baad top right corner me apne Profile icon par click kare.
3 Ab google account manage karne ki settings open hogi to yahapar Security tab par click kare.
4 Ab security settings me Your devices section me Where you’re signed in option par click kare.
- Note: Where you’re signed in option par click karte hi vo sabhi devices aapke samne aayenge jinpar aapka google account logged in hoga yahapar agar koi unknown device show hot hai to fir ye confirm hai ki aapka google account hacked hai.
5 Iske baad Unknown device name par click kare.
6 Iske baad unknown device ki login activity or location aapko show hogi yahapar Don’t recognise something? option par click kare.
7 Ab password enter karne ka option aayenga yahapar apna Google password enter karke Next option par click kare.
8 Iske baad next interface me bottom side me Change password option par click kare.
9 Ab apne google account ka password generate kare yahapar New password enter karke verify kijiye aur Change password option par click kare.
10 Iske baad other security checkup run ka option aayega to aap isse run kar sakte hai otherwise Continue to your google account option par click karke apne google account me wapas login kar lijiye.
Iske baad hacker aapka aapke google account ka password successfully change ho jayega aur hacker ka access bhi aapke google account se remove ho jayega, iss tarah se easily aap apne google account ko secure bana sakte hai.
I hope, ab aap samajh gaye honge ki aapka google account kaha kaha login hai aur agar account hacked hoga to hacker ka access kaise remove karna hai kaise apne google account ko security banana hai ye bhi aap samajh gaye honge, Agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.