X
    Categories: GOOGLE

Google Account Delete Kaise Kare

Google account delete kaise kare iss post me hum janenge so agar aap google user hai aur apne apne google account ko remove karne ke bare me soch rahe hai to ye post aapke liye hi hai.

Jitna aasaan google account create karna hai utna hi easy isse delete karna bhi hai lekin mostly users aise hai jo apne google account ko delete karne ke bare me nahi janate hai.

Isliye agar aap bhi apne google account ko delete karna chahte hai aur delete kaise karte hai ye nahi janate hai to iss post me aapko puri step by step jankari milne wali hai.

Google Account Deleting Means

  • Aapke google account ka all data or content remove ho jayega jaise ki all files, emails, photos aur calendar.
  • Aapki youtube or google play par purchase ki gayi sabhi subscription remove ho jayegi, sabhi apps, games, movie, music or tv shows ki subscription delete ho jayegi.
  • Sabhi google services (gmail, drive, calender, playstore or photos) jaha bhi aapne sign in kiya hoga vaha se se aapka access remove ho jayega.

Apne google account ko remove karne ke liye aapko niche diye easy steps ko follow karna hai to chaliye shuru karte hai aur jante hai apne google account ko permanently remove kaise karte hai.

Review & Download Your Information

Apne google account ko delete karne se pehle aapko apne account information ko review karna chahiye aur agar important data hai to download bhi kar sakte hai.

Review aur information download karne ke liye aap iss link par click karke sabhi google services ko review kar sakte hai aur apna important data download kar sakte hai.

Google Account Delete Kaise Kare

1 Sabse pehle apne Google account me login kare.

2 Iske baad top right corner me apne Profile icon par click kare.

3 Ab google ka menu page open hoga yahapar Google account option par click kare.

4 Iske baad next interface me Data and privacy tab par click kare.

5 Ab scroll down karke bottom side me jaye aur More options section me Delete your google account option par click kare.

6 Iske baad apna Password enter kare.

7 Ab next interface me bottom right corner me Delete account option par click karke apna account delete kar dijiye.

Iss tarah se aap easily apne google account ko permanently delete kar sakte hai aur sabhi google data aur informations ko remove kar sakte hai.

I hope ab aap samajh gaye honge ki google account ko remove kaise karte hai agar ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More