Google account delete kaise kare permanently iss post me hum janenge so agar aap google user hai aur apne google account ko hamesha ke kiye remove karna chahte hai aur nahi janate ki apne google account ko permanenty delete kaise karte hai to ye post aapke liye hi hai.
Google par aap multiple accounts create kar sakte hai aur ek se dusre me switch karke unka use kar sakte hai lekin agar aap apne multiple google accounts me se kisi google account ko remove karna chahte hai aur nahi jante ki kaise karte hai to niche bataye easy steps follow kare.
Google Account Delete Kaise Kare Permanently
1 Sabse pehle apne uss Google account me login kare jisse delete karna hai.
2 Iske baad top right corner me apne Profile icon par click kare.
3 Ab ek popup window open hogi isme Manage your google account option par click kare.
4 Iske baad google account manage karne ki sabhi settings aayengi yahapar Data and privacy tab par click kare.
5 Data and privacy tab me niche ki taraf scroll kare aur Delete your google account option par click kare.
6 Iske baad jo next interface open hoga isme apna Google password enter karke Next option par click kare.
7 Ab next interface me Download your data option par click karke apne google data ko download kar sakte hai otherwise skip kar sakte hai.
8 Iske baad bottom side me 2 checkbox par tick kare.
9 Ab finally Delete account option par click kar dijiye.
Iske baad kuch hi der me aapka google account delete ho jayega, iss tarah se aap apne multiple google accounts me se kisi bhi account ko remove kar sakte hai, agar aapse ye galati se hua hai agar aapne galati se apne google account ko delete kar diya hai to yahase aap apne account ko instantly restore bhi kar sakte hai, account restore karne ke liye niche diye steps follow kare.
Recover Recently Deleted Google Account
1 Account delete hone ke baad yahapar Recover your account option par click kare.
2 Iske baad apne Google account id or email address enter karke next option par click kare.
3 Ab jo next interface open hoga isme Next option par click kare.
4 Iske baad next interface me apna Google password enter karke Next option par click kare.
Ye steps complete hote hi aapka recently deleted google account wapas recover ho jayega, iss tarah se aap apne delete huye google account ko wapas restore bhi kar sakte hai.
I hope ab aap samajh gaye honge ki google account remove kaise karte hai aur agar galati se delete ho gaya hai to kis tarah se wapas google account restore karna hai ye bhi aap samajh gaye honge, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.
Video Dekhe