Hello friends, gmail user id change kaise karte hai aaj ki iss post me mein aapko batane wala hu. Internet use karne wale lagbhag sabhi logo ka gmail account hoga. Gmail signup karte time hume username select karna padta hai ye to aap acchi tarah se janate hi honge. Bahut se log starting me apna primary user name apne nick name se create karte hai. Aur baad me apna full name update karne ke liye. Ya phir koi spelling mistake ko sudharne ke liye vo isse change karna chahte hai.
Agar aap bhi apna primary username change karna chahte hai aur nahi janate ki gmail username ko change kaise karte hai. To aap sahi jagah par hai yahapar mein aapko gmail user name ko change karne ke do method bataunga. Inn do tariko ki help se aap easily apna gmail user id change kar sakte hai to chaliye start karte hai.
Gmail User Id Change Kaise Kare In Hindi
- Google Me Copyright Free Images Ko Check Aur Download Kaise Kare
- Kaise Pata Kare Google Me Abtak Kya Search Kiya Hai Complete History
- Google Account Ko Delete Kaise Kare
- Gmail Account Ko Delete Kaise Kare
Method #1
Step 1
Gmail user id change karne ke liye sabse pehle apne gmail account me login kijiye.
- Setting icon par click kare.
- Settings par click kare.
Step 2
Ab next window me aap gmail ki general setting me pahuch jayenge. Gmail user id change karne ke liye niche steps follow kare.
- Accounts and Import section me click kare.
- Edit info link par click kare.
Step 3
Ab ek popup window open hogi, yahapar aapko apni gmail user id change karne ke liye option show hoga.
- New user name ke tick box me tick kare.
- Box me apna new gmail user name enter kare.
- Save changes button par click kar dijiye.
Lijiye ab aapki gmail user id change ho gayi hai, issi tarah se aap gmail me apna user name change kar sakte hai. Wapas accounts and import setting me aap dekh sakte hai ki pehle gmail user name Ramesh Singh tha jo ab change hokar R S Rawat ho chuka hai.
- Delete Huye Gmail Account Ko Recover Kaise Kare
- Google Plus Par Account Kaise Banaye
- Google Adwords Me Account Kaise Banaye
- Kisi Bhi Website Ka Font Style Kaise Check Kare
Method #2
Step 1
Sabse pehle apne gmail account me login kare aur myaccount.google.com ki site me jaye. Yahapar your personal info link par click kare.
Step 2
Next window me aap apne personal information page par pahuch jaoge. yahapar apne gmail user name par click kare.
Step 3
Ab next page me aapke google name ko edit karne kar option aayega. Yahapar pencil ke icon par click kare.
Step 4
Ab ek popup box khulega jisme aapka old gmail user name hoga. Isme apna old name remove kare aur new gmail name enter kijiye.
- Apna first aur last name enter kare.
- Done button par click kare.
Lijiye ab aapki gmail user id change ho gayi hai. Issi tarah se aap second method ki help se bhi apna gmail user name change kar sakte hai.
Dosto ab aap samajh hi gaye honge ki gmail user id change kaise karte hai. Ummeed karta hu ki aapko ye article pasand aaya hoga. Phir bhi agar aapka koi saval ho ya koi sujhav dena chahte hai to comment jarur kare. Aur agar aapko ye article helpful lag raha ho to please isse social sites par apne dosto ke sath bhi jarur share kare.
View Comments (21)
Thanks sir very much
Welcome
Change
सर मैं सुनिश्चित नहीं हो पाया हूँ, कि आपने यूजर आई डी को बदला है या व्यक्ति के नाम को। मुझे अपनी आई डी में बदलाव करना है क्या इससे यूजर आई डी में बदलाव होगा, सुनिश्चित करें धन्यवाद।
Isme jo aapki gmail user id h hai vo change hogi
bahut badiya jankari
thnx
helo can u tell me agr gmail link men chnging krni ho to kesy hogi
gmail link me change nahi ho sakta hai, but same id par other email add karke aap email send aur receive kar sakte ho. iske liye apne gmail account me top right side me gear icon > settings > accounts and import section me jaye aur send mail as ke samne edit par click kar new email add kar dijiye.
Sir mobile se kaise change karenge ??
Mobile browser ko desktop version me open karke ho jayega
sir mera gmail account ko edite karke usme ka ek world ko hatana chahta hun please help me
mera ID
vyasbhopsaara@gmail.com jisko edite karke
vyasbhopsara@gmail.com
rakhna chahta hu
ek baar email id create hone ke baad usse edit nahi kar sakte hai, iske liye aap new email create kar lijiye.
Thanks
Very nice tutorial....... Maza aa gaya thanks for sharing..
thanks
Sir apni old I'd band karna chahti hu nahi banana chahti hu help me
iske liye aap iss link me diye steps ko follow kare.
https://hinglishhelp.com/gmail-account-ko-delete-kaise-kare/
Mujhe apne mail I'd me changes Karna h
Jaise Abhi Sahu.chitru@gmail.com h ,
Usko
Chitrasen.sahu@gmail.com
Karna h
Can you help me
aap gmail id ko proper change nahi kar sakte ho but upar bataye steps follow karke apni sabhi mail 2nd id par divert aur receive kar sakte ho. iske liye upar steps follow kijiye.
Change