X
    Categories: GOOGLE

Gmail Pe Whatsapp Ki Tarah Chat Kaise Kare – Enable Chat Feature in Google Gmail

How to enable chat feature in google gmail yani ki gmail pe whatsapp ki tarah chat kaise kare iss post me mein aapko batane wala hu, so agar aap google gmail ka use karte hai aur apne gmail account par chat feature ko enable karna chahte hai to iss post me bataye gaye easy steps ko follow kare.

Whatsapp ki new privacy policy update ke chalte mostly users whatsapp ka alternative search kar rahe hai aise me google gmail ka ye update unn users ke liye kafi beneficial ho sakta hai jo whatsapp ki latest privacy policy ko accept nahi karna chahte hai aur dusre platform ki talash kar rahe hai.

Whatsapp duniya bhar me ek top popular instant messaging app hai jiska use messaging ke liye bahut jyada kiya jata hai, aise me latest privacy policy update ki vajah se mostly whatsapp users iska other option dekh rahe hai aur issi ko dhyan me rakhte huye gmail ne new chat feature update kiya hai.

Google gmail ke new chat feature ke through aap whatsapp ki hi tarah apne friends ke sath chatting kar sakte hai unhe text messages, photo, video send kar sakte hai iske alawa bhi bahut se other feature bhi aapko iss update me milenge, to chaliye start karte hai aur janate hai gmail par chat feature on kaise karte hai.

Gmail Pe Whatsapp Ki Tarah Chat Kaise Kare – Enable Chat Feature in Google Gmail

1 Sabse pehle Google playstore open karke Gmail app ko update kare.

2 Iske baad Google gmail open karke top right corner me 3 lines par click kare.

3 Ab kuch option aayenge to yahapar Settings option par click kare.

4 Iske baad next interface me gmail app me logged in aapki sabhi email id show hogi to yahapar currently login Gmail id Select kare.

5 Ab next interface me General section me Chat option ke samne Check box par tick kare.

6 Iske baad ek popup open hoga to isme OK option par click kare.

7 Ab gmail app ke bottom side me kuch aur option add ho jayenge to inme Chat option par click kare.

8 Iske baad bottom right corner me New chat option par click kare.

9 Ab next interface me top side me Person or room option par click karke apne friend ki Email id search kare.

10 Iske baad search result me apne friend Gmail id par click kare.

Ab next interface me aapke samne chat page open ho jayega to yaha se aap apne friend ke sath chatting kar sakte hai, usse text messages, photos or videos send kar sakte hai, iss tarah se aap apne alag alag friends ki gmail id search karke unse chat kar sakte hai.

I hope, aap samajh gaye honge ki google gmail par chat feature ko on kaise karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More