Gmail par unwanted email automatically delete kaise kare iss post me hum janenge so agar aap google gmail use karte hai aur apne gmail account me receive hone wali sabhi anchahe mails ko auto remove karna chahte hai to iss post me bataye easy steps ke through aap sabhi unwanted emails ko automatically remove kar sakte hai.
Google gmail par users ko daily unwanted emails receive hoti hai jinse unka google storage jaldi full ho jata hai aise me agar aap apne gmail storage ko save karna chahte hai to gmail me ek secret setting hai jo aapko enable kar deni hai uske baad gmail ke inbox se sabhi anchahe mails automatically remove hona start ho jayenge pura process janane ke liye niche diye easy steps follow kare.
Gmail Par Unwanted Email Ko Automatically Delete Kaise Kare
1 Sabse pehle Google Gmail ki app open kare.
2 Iske baad top left corner me 3 lines par click kare.
3 Ab kuch options aayenge to agar aap promotional emails ko auto delete karna chahte hai to Promotions tab par click kare.
4 Iske baad sabhi promotional emails aapke samne aa jayengi inme uss Emai ko open kare jiske through milne wali sabhi email auto remove karna chahte hai.
5 Email open hone ke baad To me ke drop-down par click kare.
6 Drop-down me from section se sender ki Email I’d Select karke Copy kar lijiye.
7 Ab aapko back aana hai aur top side me Search box par click kare.
8 Iske baad next interface me agar alag tabs show honge to inme From tab par click kare.
9 Ab next interface me Type a name or email address ke box par click kare aur Copied email paste kare.
10 Email paste karne ke baad Add recipient option par click kar dijiye.
Lijiye aapka kaam ho gaya ab jo email address aapne yahapar add Kiya hai uspar filter add ho jayega aur iske baad perticular uss email id ke through milne wali sabhi email automatically delete hoti rehegi.
To iss tarah se aap yahapar apne according kitne bhi email addresses ko add kar sakte hai unke through receive hone wali mails ko automatically delete karne ke liye.
I hope ab aap samajh gaye honge ki google gmail par email ko automatically remove karne ki setting kaise karte hai, agar ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.
Video Dekhe