X

Gmail Account Ko Delete Kaise Kare – How to Delete Gmail Account

How to delete gmail account yani ki dosto apne gmail account ko delete kaise karte hai aaj ki iss post me mein aapko batane wala hu. Gmail account ko delete karne ki bahut se reason ho sakte hai jaise ki ek se jyada gmail id ka hona aur unme se bahut se account ka use nahi karna vajah kuch bhi ho sakti hai. Agar aap bhi apna gmail account remove karna chahte hai to iss post ko dhyan se padhe aur niche diye steps ko follow kare.

Google mail ka use internet use karne wale mostly user karte hai. Kai logo ki ek se jyada google gmail par account hai. Aise me agar vo sirf ek hi gmail account login karte hai. To baki another google email ko unhe delete kar dena chahiye. Kyuki agar aap regularly google mail login nahi karte hai to aapka google gmail account koi hacker use kar sakta hai. Isliye security reason se another google mail ko turant delete karna ek better option hai. How to delete gmail account (gmail account ko hamesha ke liye delete kaise kare) chaliye step by step janate hai.

Gmail Account Ko Delete Kaise Kare – How to Delete Gmail Account

Agar aapke kai sare gmail accounts hai aur unn sabhi email account me se aap sirf ek ka hi use karte hai. To other gmail emails ko aapko delete kar dena chahiye. Aap google par gmail delete karne ke liye niche diye keywords search karte honge jaise ki:

  • Gmail account delete kaise kare
  • gmail account kaise delete kare
  • gmail id delete kaise kare
  • email id kaise delete kare
  • gmail account ko hamesha ke liye delete kaise kare
  • How to remove gmail acccount
  • How to delete gmail account
  • how to delete gmail account permanently

Lekin agar abhi tak aapko gmail account ko delete karne ke liye sahi jankari hasil nahi hui hai to iss post me aapki iss problem ka solution ho jayega. Gmail account delete kaise karte hai iske liye niche diye steps ko sahi se follow kare.

Step 1

Sabse pehle gmail login page me jaye aur apne gmail account me login kare.

 

  1. Top right hand side me apne profile image par click kare.
  2. My account button par click kare.

 

 

Step 2

Ab next page me account preferences ke niche delete your account or services par click kare.

 

 

Step 3

Iske baad next page me delete products par click kare.

 

 

Step 4

Ab apna password re-enter kare, aur sign in button par click kare.

 

 

Step 5

Ab next page me gmail account delete karne ka option aa jayega.

 

  1. Delete karne se pehle download data par click karke apne account ka backup le sakte hai.
  2. Youtube account ko bhi delete kar sakte hai.
  3. Gmail id ko delete karne ke liye delete sign par click kare.

 

Step 6

Iske baad ek popup window open hogi, yaha par other service email enter karna hai.

 

  1. Alternate email enter kare, for example yahoo, reddit etc, gmail id nahi dalni hai.
  2. Send verification email par click kare.

 

Step 7

Ab jiss service ki email verification ke liye use ki hai, uske inbox me gmail se ek message aaya hoga. Isse open kare aur delete link par click kare.

 

 

Step 8

Delete link par click karte hi, gmail id delete karne ka option aayega.

 

  1. Tick box me tick kare.
  2. Delete Gmail ke button par click kare.

 

Step 9

Ab ek popup khulega jiska matlab hai ki aapka gmail account remove ho chuka hai, done button par click kare.

 

Note:- Google gmail ko permanently delete hone me ya remove gmail process me 60 days ka time lagta hai. Iss beech same id se agar aap gmail login page par enter karte hai to aapko restore ka option show hoga. Lekin 60 days ke baad restore ka option automatically remove ho jayega.

 

I hope how to delete gmail account yani apna gmail account delete kaise kare ab aap jaan gaye honge. Agar aapka koi saval hai to comment karke puch sakte hai. Aur agar ye post acchi lagi ho to isse social networking sites par share bhi jarur kare.

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

View Comments (37)

    • gmail sign in page par jaye, find my account link par click kare, apna phone number dalkar next button par click kar, apna name dale aur next click kare, iske baad aapke phone par code bhejne ke liye pucha jayega, send text message par click kijiye, ab aapke mobile par aaya code G- ke box me dale, aapka email show ho jayega.

      • Sir agar meri gmail account do mob me chalu h or mjhe ek mob se delete karna h toh ky mai kar sakta hu or agar maine apne mob se delete kar diya to dusre se bh delete ho jaegi ky sir plss tell me or pura data delete ho jaega ky

  • sir yeh popup email id nhi ho to account delete kese karte he or yeh popup id hoti kesi hai

    • delete karne se pehle apni ek new id alag service par bana lijiye jaise yahoo, redit etc par. iske baad delete process ko repeat kare. aapki gmail id delete ho jayegi.

    • nahi aapki jitni bhi gmail ids hai unko delete karne ke liye yahoo id use kar sakte ho

  • sir mere friend ne mera gmail use keya hai vo gmail important hai kese vapis lu vo muje nhi de rha hai.....

    • iske liye apni gmail id open kijiye aur forgot password par click karke new password set kar dijiye.

    • gmail se user id delete nahi kar sakte hai but aap isse change jarur kar sakte ho

    • agar aapne 2 step verification set karte time backup code, backup phone, authenticator app etc settings bhi enable ki hai to aap easily iska backup le sakte hai. otherwise aap google ko email send kijiye, jisme aapko batana hai ki aapka number chori ho gaya hai, aur login nahi kar pa rahe hai. isko solve kajiye. hope 5-6 days me iska solution ho jayega

  • meri gmail id bohut log use kr rhe hai mai Apni gmail id se un sbhii logo ko block krna chahhta huu

    • gmail ka password change kijiye aur logout other device option ko choose kijiye

  • hii sir,
    sir mere pass jo gmail account hai usko delete karke kisi aur number pe old id ka user id se bna sakta hai ?
    example:-mera first id hai - dinesh123@gmail.com aur mobile number 7777000111 isko delete kr diya aur new id me
    First -dinesh Last -kumar
    Choose your username -dinesh123@gmail.com
    passward .................
    mobile mobile number 7777000222
    karna chahu to hoga .

    sir one question aur please gmail delete karne ke baad gmail login me jata hu to login karne par down me gmail restore ka option show karta hai wo kitne dino tak restore ho sakta hai ,mujhe to restore nhi karna hai permanently delete karna hai mujhe ye bataye ki kitne dino or hour ke baad show nhi karega
    sir please comment.

    • vaise to aapka gmail id delete ho jata hai, but permanently delete hone ke liye iss process me aprx 60 days ka time lagta hai, uske baad isse recover nahi kiya ja sakta hai.