WHATSAPP

GB WhatsApp Download Kaise Kare – How to Download GB Whatsapp

How to download GB whatsapp yani ki GB whatsapp download kaise kare iss post me mein aapko batane wala hu, so agar aap whatsapp me kuch extra features use karna chahte hai to GB whatsapp ek aisi application hai jisme aapko extra aur useful features mil jayenge.

GB whatsapp ek mod app hai jisse whatsapp ko modify karke banaya gaya hai aur iss app me users ko original whatsapp ke sabhi features ke sath sath kuch extra aur useful feature bhi milte hai, halaki gb whatsapp playstore par available nahi hai lekin fir bhi aap niche bataye gaye tarike se easily gb whatsapp ko apne phone me download kar sakte hai, puri process janane ke liye niche diye steps follow kare.

GB WhatsApp Download Kaise Kare – How to Download GB Whatsapp

1 Sabse pehle GBApps.Net ke iss link par click kare.

2 Iske baad Download GBWhatsapp Apk button par click kare.

3 Ab next interface me gb whatsapp ki puri information aa jayegi to yahapar thoda niche scroll kare aur Download GBWhatsapp Apk option par click kare.

4 Iske baad ek popup open hogi jisme Storage permission access karne ke liye puch jayega to isme Continue option par click kare.

5 Ab ek aur popup open hoga jisme Media access manga jayega to isme Allow option par click kare.

6 Iske baad ek aur popup open hoga jisme Download location puchi jayegi to isme aapko Download button par click kar dena hai.

7 Ab gb whatsapp ki apk file download hona start ho jayegi, download hone ke baad isme aapko Open option par click karna hai.

8 Iske baad next interface me bottom right corner me Install option par click kare.

9 Install hone ke baad bottom right corner me Open option par click kare.

10 Ab ek popup me media access manga jayega to isme Allow option par click kare.

11 Iske baad next interface me Agree and continue option par click kare.

12 Ab next interface me apna 10 digits ka phone number enter karke Next button par click kare.

13 Ab jo popups aayenge unhe Allow karte jana hai.

14 Iske baad next interface me aapke mobile par aaya OTP code enter kare.

15 Ab next interface me Apna profile name type karke Next button par click kar dijiye.

Iss tarah se easily apne android phone me GB whatsapp ko download karke install kar sakte hai, i hope aap samajh gaye honge ki gb whatsapp ko install kaise karte hai, agar aap ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

 

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.