WORDPRESS

Free WordPress Website Kaise Banaye

Free wordpress website kaise banaye iss post me hum janenge so agar aap ek blogger hai aur wordpress platform par free me apna blog banana chahte hai to ye kaam aap easily kar sakte hai, wordpress me free blog bana sakte hai.

Vaise to worpress me paid method se blog banakar aap apni website ko jyada grow kar sakte hai lekin agar aap ek new blogger hai to paid ki jagah par aap free wordpress site create kar sakte hai, wordpress me free blog kaise banaye iske bare me janane ke liye niche diye steps follow kare.

Free WordPress Website Kaise Banaye

1 Sabse pehle WordPress ki official  site open kare.

2 Iske baad Get started option par click kare.

3 Ab next interface me Continue with email option par click kare.

4 Iske baad next interface me apni Email id enter karke Continue option par click kare.

5 Iske baad domain search karne ka option aayega yahapar:

  • Search box par click karke apne Blog ka name enter kare.
  • Iske baad aapke blog name se related kai free aur paid doman name ki list aayegi.
  • Inme first year free aur baad me annual paid domain name ko select kar sakte hai.
  • Bilkul free website ke liye free doman name ke samne Select option par click kare.
  • Free domain select karne ke baad Continue option par click kare.

6 Iske baad next interface me Start with free option par click kare.

7 Ab next interface me free website ke liye apna Goal select kare.

  • Agar blogging ke liye free site banani hai to yahapar Write and publish option ko select kare.
  • Goal select karne ke baad Continue option par click kare.

8 Iske baad next interface me blog name aur tagline enter karne ka option aayega yahapar:

  • Site title ki field me apne blog ka name enter kare.
  • Tagline ki field me apne blog ki tagline enter kare.
  • Continue option par click kar dijiye.

9 Iske baad wordpress me aapki free website create ho jayegi yahapar;

  • Draft your first post option par click karke aap abhi apni new post create kar sakte hai.
  • Watch blogging videos option par click karke blogging se related videos dekh sakte hai.
  • Choose a design option par click karke apne free wordpress blog ke liye design select kar sakte hai.

Ye kaam aap baad me bhi kar sakte hai, agar abhi nahi karna hai to yahapar top right corner me Skip to dashboard option par click kar dijiye.

Iske baad aap apne free wordpress blog ke dashboard me pahuch jayenge, yahapar top side me New option par click karke aap new post create kar sakte hai.

Left side me Posts option par click karke Add a new post option par click karke bhi aap new wordpress article likh sakte hai.

New article create karne ke baad wordpress editor ke top side me Publish option par click karke apni new wordpress post ko public kar sakte hai.

I hope, ab aap samajh gaye honge ki free wordpress website kaise banate hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to ise apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.