X
    Categories: YOU TUBE

Free Background Music Download Kaise Kare Youtube Video Ke Liye

Youtube videos ke liye free background music download kaise karte hai aaj hum iss post me janenge. Agar aap youtube par video upload karte hai to apne videos me background music ka bhi use karte honge. Youtube videos me background music add karne ke liye aapko copyright ka bhi dhyan rakhna padta hai. Copyrighted music ko apne videos me use karte hai to aise me aapke youtube channel par copyright claim ho sakta hai. Jisse ki aapka youtube channel suspend bhi ho sakta hai.

Lekin agar aap youtube se copyright free music download kar apne videos me add karte hai .To aise me aapke videos me kisi bhi tarah ka copyright claim nahi hoga. Youtube me free background music ki puri library available hai. Jaha se aap apne youtube videos ke liye free me background music download kar sakte ho. Iske sath hi aap video ke liye free sound effects bhi download kar sakte hai. Aur ye background music or sound effect copyright free hai jiska use aap be jhijak kar sakte hai.

Youtube Video Ke Liye Free Background Music Download Kaise Kare

Youtube se free background music download karna bahut hi simple aur easy hai. Aur yaha se aap apne alag alag videos ke liye alag alag background music download kar sakte hai. Aur apne youtube videos me use kar sakte ho. Youtube videos me background music add karne se aap apne videos ki quality badha sakte ho. Aur apne videos me noise disturbance ko kam kar sakte ho. To chaliye ab aapka jyada time na lete huye step by step janate hai ki youtube se free background music kaise download karte hai.

Step 1

Sabse pehle  youtube ki official website me login kare.

 

  1. My channel par click kare.
  2. Video manager me jaye.

 

 

 

Step 2

Ab next page me aap video manager me pahuch jayenge. Yahapar free background music download karne ke liye niche diye steps follow kare.

  1. Create option me jaye.
  2. Audio library par click kare.
  3. Free music section me click kare.
  4. Yaha se aap background music ko apne according filter kar sakte ho. For example genre, mood, instrument, duration aur attribution ke according background music filter kar sakte ho.
  5. Playlist se jiss background music ko download karna chahte hai, usse play karke check kar sakte ho.
  6. Free background music download karne ke liye download ke icon par click kare.
  7. Issi tarah se aap apne video me sound effect add kar sakte hai. Iske liye sound effect me jaye aur above steps ko follow kare.

Issi tarah se aap apne youtube videos ke liye free background music or sound effect download kar sakte hai. Aur apne alag alag youtube videos me alag alag background music add kar sakte hai.

I hope ab aap samajh gaye honge ki youtube videos ke liye free background music download kaise karte hai. Agar aapka iss post se related koi saval hai to comment karke jarur puche. Aur agar ye jaankari aapko helpful lage to isse apne dosto ke sath share bhi jarur kare.

 

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

View Comments (1)