Google Adsense Sellers.Json file Issue Ko Fix Kaise Kare
Google adsense sellers.json file issue ko fix kaise kare aaj iss post me mein aapko batane wala hu. Agar aapki koi website hai ya youtube channel hai aur inme google adsense ke through aap earning karte hai to aapke adsense dashboard me sellers dot json file ka message jarur aaya hoga.
Google ke according advertisers aur publishers ke beech me transparency honi chahiye taki advertisers ko pata chal sake ki publishers kis tarah se CPC provide karni hai. Isse aapki adsense earning par bhi effect jarur padega yani ki aapki earning increase ho sakti hai. To chaliye ab shuru karte hai aur jante hai google adsense sellers.json file issue ko fix kaise kare.
Google Adsense Sellers.Json file Issue Ko Fix Kaise Kare
1 Sabse pehle apne Google adsense account me login kare.
2 Adsense dashboard me top side me seller.json file ke banner ke niche Action option par click kare.
3 Ab aap account information page me pahuch jayenge to yahapar Seller information visibility section me Transparent option par tick kare.
4 Aur Business domain ki field me apni website ya youtube channel ka URL enter kare.
Note:- Business domain me aapko website me prefix add nahi karna hai without prefix ke website enter karni hai yani ki http, https, www. etc aapko apni site ke sath add nahi karna hai. For example agar aapki website hai https://www.hinglishhelp.com to aapko sirf hinglishhelp.com hi enter karna hai.
Iske sath aapko unsupported domain suffix ko bhi enter nahi karna hai jaise ki .ltd or .tech etc aur slash (/) ka use nahi karna hai. Iski puri jankari aap sellers.json banner ke niche Learn more option par click karke dekh sakte hai.
I hope ab aap samajh gaye honge ki Google adsense sellers.json file issue ko fix kaise karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.
When?
nice bro