Google search console coverage issue fix kaise karte hai aaj iss post me hum janenge. Agar aapko google search console ki taraf se coverage issue detected ki email aayi hai to ye post aapke liye hi hai.
Agar aapki site par coverage issue aa raha hai to ye aapki site ko affect kar sakta hai aur aapki site ki search ranking ko decrease kar sakta hai.
Isliye agar aapko bhi google search console ki taraf se coverage issue detected on your site ka email aaya hai to isse bilkul bhi ignore na kijiye.
Kyuki isse aapki site ki SEO ranking par negative impact pad sakta hai isliye apni site ki search engine optimization ko better karne ke liye aapko coverage issue ko fix jarur karna chahiye.
- Blog Me Popup Email Subscribe Box Kaise Enable Kare
- Blogpost Ke Liye SEO Friendly Image kaise Banaye
Google Search Console Coverage Issue Fix Kaise Kare – Solve Coverage issues detected Error
Apni site par google search console coverage issue fix karna bahut hi simple hai, so agar aap nahi jante hai ki coverage issue detected error ko kaise solve karte hai to niche diye steps ko follow kare.
1 Sabse pehle jo mail aapko receive hua hai usme Fix coverage issue ka button hoga uspar click kare. Otherwise apne Google search console account me loging kare, aur left side menu me indext section me Coverage ke option par click kare.
2 Ab bottom side me scroll karenge to yahapar aapko apni site ke vo sabhi links show ho jayenge jinpar soft 404 error yani coverage issue aa raha hai. Aapko inn URL par click karna hai.
3 Click karte hi ek popup window open hogi isme Inspect URL ke option par click kare.
4 Ab aap URL inspection section me pahuch jayenge yahpar Test Live URL ke button par click kare.
5 Iske baad ek popup open hoga jisme Testing live URL process start ho jayega. Isme 1 se 2 minutes ka time lag sakta hai.
Kuch hi der me aapki site ka ye URL google par index ho jayega aur yahapar aap iss link ki google availability, mobile usability aur sitelink searchbox dekh sakte hai. Sabhi index hone ke baad validate ho jayenge.
Iss tarah se aap apni site par google search console coverage issue fix kar sakte hai. I hope aapko google search console me coverage issue ko fix karne ki ye jankari helpful lagi hogi.
- On Page SEO Kya hai Content Optimization ki 12 Most Popular Tips
- Blog Traffic Increase Karne Ke Most Popular Tarike
Agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare aur aapka koi saval ho to comment box me jarur puche.
View Comments (3)
My Coverage issue Solved . Thanks
Thanks you sir, but abhi bhi kuch problem hai, kya hame direct website se URL ko uthakar use search console me submit kar sakte hai ya nahi...
kya yeh trick 2022 mei bhi kam aata hai ?