Aaj ke iss post me mein aapko bataunga ki facebook videos download kaise karte hai. Humare friends aur other facebook users facebook par video upload karte hai, aap bhi karte honge. Facebook par upload kai videos aapko itni pasand aati hogi ki unn video ko bar bar dekhna chahte honge. Lekin facebook se video download karne me hume thodi problem hoti hogi. Kyugi facebook me video download karne ka koi option available nahi hai.
Isliye iss post me hum ek simple trick ke bare me janenge. Jiski help se aap easily koi bhi facebook video easily download kar sakte ho, aur apne device me save karke rakh sakte ho. To start karte hai aur janate hai ki facebook ki videos download kaise kiya jata hai.
Facebook Videos Download Kaise Kare Without Any Software
Facebook me videos download karna koi mushkil kaam nahi hai. Niche diye simple steps ko follow karke aap badi aasani se facebook video download kar sakte ho. Chaliye ab aapka jyada samay naa lete hue step by step janate hai ki iske liye kya karna hai.
- Facebook Me Sent Friend Requests Ko Cancel Kaise Kare
- Facebook Page Me Ek Se Jyada Admin Kaise Add Kare
Step 1
Sabse pehle facebook ki official website me login kare. Ab uss video ko open kare jisse aap download karna chahte hai. Video play hone ke baad video me right click press kare. Right click karte hi kuch option show honge, inme show video url par click kare.
- Facebook Group Me Kisi Or Ko Group Admin Kaise Banaye
- Facebook Boost Kya Hai Aur Facebook Me Post Promote Kaise Kare
Step 2
Show video url par click karte hi video ka link box me aa jayega, iss link ko copy kare.
- Aapki Facebook Profile Ko Kis Kisne Dekha Kaise Check Kare
- Facebook Messages, Pictures Aur Videos Ko Kaise Recover Kare
Step 3
Iske baad new internet tab open kare aur address bar me copy kiya hua url past kare. Ab url me www ki jagah par m add kare aur isse open kar lijiye.
Step 4
Ab next window me video open ho jayega, isse play kare. Video par right click kare aur Save video as par click kar dijiye.
Save video as par click karte hi aapke samne video ko save karne ke liye option aa jayega. Ab aap chahe to apne computer gallery me kahi par bhi save karke rakh sakte hai. Issi tarah se aap jo chaho vo facebook videos download kar sakte ho.
Lijiye dosto ab aap jaan hi gaye honge ki facebook videos download kaise karte hai. Fir bhi kisi tarah ka doubt hoto comment karke puch sakte ho. Aur agar aapko ye jaankari acchi lagi hoto isse social media me apne dosto ke sath share bhi jarur kare.
View Comments (8)
Good information sir mai aapke bataye hue tarika se fb video download kar liya
thanks n keep visiting
thanks for sharing this informaition
welcome
nhi hui video download isse
facebook ne ye option ab disable kar diya hai. aap facebook video ka url copy kare aur new tab me save from net site ko open kare uske baad topside me search box paste kar dijiye video download karne ka option aa jayega.
kya me apkitarhe blog bana sakta hu
yes offcourse