X
    Categories: FACEBOOK

Facebook Story Pe Privacy Kaise Lagaye – FB Story Privacy Settings

Facebook story pe privacy kaise lagaye iss post me mein aapko batane wala hu, so agar aap facebook user hai aur apne facebook account me story update karte hai to aapko fb story privacy settings ke bare me bhi pata hona chahiye.

Facebook par aap jo bhi photo ya video apni story me post karte hai usse publicly aapka koi bhi friend dekh sakta hai, lekin agar sabhi ko apni story show nahi karna chahte hai aur apne according story show karna chahte hai to iss post ko follow kare.

Facebook Story Pe Privacy Kaise Lagaye – FB Story Privacy Settings

FB story pe privacy lagane ke liye sabse pehle apna Facebook account open karke Settings page ko open kare.

Settings page me Audience and visibility section me Stories option par click kare.

Stories option ke under aapko 5 alag alag options milenge jinke through aap facebook story me privacy add kar sakte hai.

1 Story Privacy

Public Story privacy option par click karte hi kuch options aayenge to yahapar by default Public option select rehta hai jisse ki aapki story publicly koi bhi user dekh sakta hai.

Friends Agar aap yahapar Friends option select karenge to sirf aapke facebook friends hi aapki story dekh payenge.

Hide story from Agar aapko apne kuch friends se apni story hide karni hai to yahapar Hide story from ke option par click karke apni friends list se unn friends ko select kar sakte hai.

Custom Ab agar aapko apne kuch friends ko hi apni story show karni hai to yahapar Custom option par select karke apne friends ko select kar sakte hai.

Stories you’ve muted Other Settings ke niche Stories you’ve muted option par click karke aap unn users ko dekh sakte hai jiki story aapne mute ki hogi.

2 Sharing Options

Allow Others to Share Your Pubilc Stories to Their Own Story? option par click karne par 2 options aayenge to inme agar aap Yes option ko select karenge to aapki story ko koi bhi friend apni story me share kar sakta hai, halanki aapka profile name story me show hota rahega.

Agar aap yahapar Only me option ko select karenge to aapke alawa aapka koi bhi friend aapki story ko apni story me share nahi kar payega.

Allow People to Share Your Stories If You Mention Them? option par click karte hi 2 options aayenge to yahapar Allow option ko select karenge to jin friends ko aap mention karenge vo aapki story share kar payenge.

Agar aap chahte hai ki jin friends ko aap mention kare vo aapki story ko share na kar paye to aap yahapar Don’t allow option ko select kar lijiye.

3 Story Archive

Story archive option par click karte hi next interface me Save stories to archive ka option aayega to yahapar Save to archive option ke samne toggle button ko agar aap enable kar denge to aapki facebook story hide hone ke baad Archive option me save ho jayegi jinhe aap kabhi bhi yahapar dekh sakte hai.

4 Story Highlights

Story hightlights option par click karte hi next interface me Who can see your highlights? option aayega to yahapar:-

Public option ko select karne par aapki story highlights sabhi friends ko show hogi.

Friends option ko select karne par sirf aapke facebook friends ko hi show hogi.

Custom option ko select karke aap apni friend list se unn friends ko select kar sakte hai jinhe aap apni story highlights show karna chahte hai, unke alawa aapki story highlights koi bhi nahi dekh payega. 

5 Stories You’ve Muted

Stories you’ve muted option par click karke aap apne unn friends ki list dekh sakte hai jinki story ko aapne mute kiya hoga, aur agar inme se kisi friends ki story unmute karna chahte hai to uss friend ke name ke samne Unmute button par click kar dijiye.

 

I hope, aapko facebook story privacy settings ke bare me ye jankari helpful lagi hogi, agar aapko ye post pasand aayi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

 

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More