Facebook Story Me Longer Video Upload Kaise Kare
Facebook story me longer video upload kaise kare iss post me hum janenge so agar aap facebook par regular apni story upload karte hai to fb ki yeh secret trick aapke liye bahut hi jyada useful ho sakti hai iss hidden facebook trick ke through aap fb story me koi bhi long video post kar sakte hai.
Vaise facebook story me users 26 seconds ki video share kar sakte hai aur facebook me aisa koi option nahi hai jiske through longer video story me upload kar sake lekin ye secret fb trick jo iss post me mein aapko batane wala hu iske through aap bina koi third party app install kiye story me long video post kar sakte hai chaliye step by step janate hai.
Facebook Story Me Longer Video Upload Kaise Kare
Bina koi third party app ko install kiye facebook story me longer video upload karne ke liye aapko messenger app ka use karna hai jo facebook ki hi ek supportive application hai.
Facebook messenger ki help se aap kaise longer video apni fb story me post kar sakte hai chaliye step by step janate hai.
1 Sabse pehle Facebook messenger open kare.
2 Iske baad kisi bhi friend ki Chat open kare.
3 Ab bottom side me Gallery icon par click kare.
4 Iske baad gallery se Longer video select karke bottom side me Edit option par click kare.
5 Ab longer video edit mode me open ho jayega to yahapar bottom side me Your story option par click kar dijiye.
Lijiye aapka kaam ho gaya your story option par click karte hi longer video aapke facebook account me story me upload ho jayegi ab aap chahe to send option par click karke messenger chat me iss video ko send kar sakte hai.
I hope ab aap samajh gaye honge ki facebook story me long story video kaise lagate hai, agar ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.