Facebook me sent friend request cancel kaise kare iss post me hum janenge so agar aap facebook me bheji gayi apni sabhi friend request ko remove karna chahte hai aur nahi janate ki kaise karte hai to iss post me aap fb par send ki hui apni friend ko cancel karna sikh jayenge.
Facebook par aksar log apne janane walo ko friend request bhejte hai bahut se log friend request ko accept kar lete hai lekin aisa bhi hota hai ki kuch user aapki friend request ko accept nahi karte aise me aapki send friend request kafi time se pending rehti hai.
Aise me agar aap apni sabhi pending sent friend request ko remove karne ke bare me soch rahe hai to niche diye easy steps ko follow karke aap all sent friend requests ko delete kar sakte hai puri jankari ke liye ye post end tak dhyan se padhe.
Facebook Me Sent Friend Request Cancel Kaise Kare
1 Sabse pehle Facebook open kare.
2 Iske baad top side me Friends tab par click kare.
3 Ab nex internet me Requests option par click kare.
4 Iske baad jo next interface open hoga usme aap khud ko mili hui friend requests ko dekh sakte hai yahapar top right corner me 3 horizontal dots par click kare.
5 Click karte hi bottom side se ek popup open hoga usme View sent request option par click kare.
6 Iske baad next interface me aap apni sabhi sent friend requests ko dekh sakte hai jiss request ko remove karna hai usme Cancel option par click kar dijiye.
Iss tarah se aap one by one karke apni sabhi sent friend requests ko cancel kar sakte hai.
I hope aap samajh gaye honge ki facebook ki sent friend request ko cancel kaise karte hai, agar ye jankari aapko helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.
Video Dekhe