X
    Categories: FACEBOOK

Facebook Se Gmail Id Kaise Delete Kare

How to remove gmail from facebook yani ki facebook se gmail id kaise delete kare iss post me hum janenge so agar aap apne facebook account se apna gmail account remove karna chahte hai aur nahi janate ki fb se gmail id kaise remove kare to iss post me iski puri jankari aapko mil jayegi.

Agar facebook account me aapne multiple gmail accounts add kiye hai aur unme se sirf ek hi email id ko add rakhna chahte hai aur baki another gmail accounts ko delete karna chahte hai to iske liye niche diye easy steps ko follow kare.

Facebook Se Gmail Id Kaise Delete Kare

1 Sabse pehle Facebook app open kare.

2 Iske baad top right corner me apne Profile icon par click kare.

3 Ab fb menue page me top side me Settings gear icon par click kare.

4 Iske baad facebook settings and privacy page me Account centre option par click kare.

5 Account centre ke under Personal details option par click kare.

6 Personal details option ke under Contact info option par click kare.

7 Iske baad next interface me apni Email id par click kare.

8 Ab next interface me Delete email address option par click kare.

9 Iske baad ek popup open hoga isme Delete option par click kare.

10 Ab next interface me apna Facebook password enter karke Continue option par click kare.

11 Iske baad OTP code enter karne ka option aayega aur sath hi aapki selected email id me ek code receive hoga yahapar:

  • Email inbox me receive hua Security code dekhe.
  • Wapas facebook me aaye aur Security code box me enter kare.
  • Finally Continue option par click kar dijiye.

Iske baad aapke facebook account se aapki selected gmail id remove ho jayegi, iss tarah se aap facebook me added apne kisi bhi gmail account ko delete kar sakte hai.

I hope, ab aap samajh gaye honge ki facebook me gmail account ko kaise remove kare, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

 

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More