Facebook Profile Name Kaise Change Kare General Setting
Internet ke iss yug me facebook ek aisa name hai jo social media me top platform ban chuka hai. Jyadatar log iss community se jude huye hai, aur per day facebook users ki sankhya badhti hi jaa rahi hai. In short facebook ek famous platform hai, jisme hum apne dosto aur janane walo se connect rehte hai. Bahut se users aise bhi jo facebook me apna profile name change karna chahte hai, lekin kaise karte hai iska pata nahi hota hai. Isliye aaj hum janenge ki facebook profile name kaise change kare.
Facebook Me Profile Name Change Kyu Kare
Facebook me kai log apna profile name change karke stylish name me convert kar dete hai. Aksar log famous hone ke liye aisa karte hai. Bahut se log apne facebook profile name ke sath (rock/price/tricky) jaise sabdo ko jodkar isse stylish bana dete hai. Aapne facebook me aise profile name dekhe bhi honge, jo kaafi unique aur stylish hote hai.
Kai Users other language jaise russian, ukrainian ityadi letters use karke apna facebook profile name change karke stylish look dete hai. Aisa karne se unki facebook post par likes bhi increase hote hai. Issi tarah se aap bhi apna facebook profile name change kar sakte hai. Facebook profile name kaise change kare, iske liye niche diye easy steps follow kare.
Facebook Profile Name Kaise Change Kare
Step 1
Sabse pehle apne facebook account me login kare.
- Top right side me dropdown ke icon par click kare.
- Settings me click kare.
Step 2
Ab next window me general account settings page open hoga, isme name ke aage edit par click kare.
Step 3
Edit par click karte hi next page me aapke profile name detail open hogi, yaha old name ki jagah new name enter karna hai.
- Apna new profile name enter kare.
- Review change button par click kare.
Step 4
Ab ek popup window open hoga.
- Yaha par jo name aapne set kiya hai, uske sath ek aur suggession name hoga. Jiss name ko set karna chahte hai, uspar tick kare.
- Apna password enter kare.
- Finally save changes button par click kare.
Lijiye dosto aapka kaam ho gaya hai, ab facebook me aapka profile name change ho gaya hai, agar isse phir se change karna hai to aapko 60 days ka wait karna padega. Kyuki facebook policy ke according aap 60 din se pehle apna profile name badal nahi sakte hai.
Ye Bhi Padhe
- Facebook Autoplay Video Disable Kaise Kare
- Email Me Facebook Notification Ko Block Kaise Kare
- Facebook Account Permanently Delete Kaise Kare
- Facebook Login Email Change Kaise Kare
- Twitter Aur Facebook Ko Ek Sath Kaise Jode
- Kuch Samay Ke Liye Facebook Account Deactivate Kaise Kare
- Facebook Post Me Continue Reading Link Kaise Add Kare
Facebook me apna name kaise badle, ab aap jaan gaye hai, agar phir bhi koi saval ho to aap comment karke humse puch sakte hai. Aur agar ye post acchi lagi ho to isse social networking sites par apne friends ke sath share bhi jarur kare.
Good morning
Changed My Name
Good Morning
Mujhe apna Name change kare hue 60 din se jyada ho gye me ab apna name change karna chahta Hu or bhi stylish name me but change hi nhi ho rha..
Kya karu
jo name aap change karna chahte hai uski length jyada badi na kare aur name change karne ke 24 hour tak wait kijiye i hope aapka profile name change ho jayega.
badhiya post
Thanks
mera naam dabal ho gya h aur chenge nhi ho rha ab kaise chenge hoga
Iske liye niche link me jaye aur steps follow kijiye
https://hinglishhelp.com/change-facebook-profile-name/
bahut accha
thanks