FACEBOOK

Facebook Par Followers Kaise Badhaye

How to increase facebook followers yani ki facebook par followers kaise badhaye iss post me hum janenge so agar aap facebook user hai aur facebook par apne followers increase karne ki jankari lena chahte hai to ye post aapke liye hi hai.

Facebook par aap easily apne followers grow kar sakte hai lekin iske liye pehle aapko apne fb account me do settings ko customise karna hoga tabhi facebook me aapke followers grow honge.

Generally facebook me users ke friends increase hote hai lekin agar aap apni facebook friendlist ko increase nahi karna chahte hai sirf followers badhana chahte hai to niche diye steps follow kare

Facebook Par Followers Kaise Badhaye

1 Sabse pehle Facebook app open kare

2 Iske baad top right corner me apne Profile icon par click kare.

3 Ab next interface me Settings and privacy option par click kare.

4 Iske baad kuch aur options unhide ho jayenge to inme Settings option par click kare.

5 Ab facebook ki settings page me top side me hi Profile settings option par click kare.

6 Iske baad profile settings me Privacy option par click kare.

7 Ab privacy settings me How people can find and contact you section me Who can send you friend requests option par click kare.

8 Iske baad next interface me Everyone option selected hoga to yahapar Friends of friends option ko select kar dijiye.

9 Ab aapko back aana hai aur privacy section me hi Public posts option par click karna hai.

10 Iske baad next interface me top side me hi Who can follow me section me Friends option selected hoga to yahapar Public option ko select kar dijiye.

Bas aapko facebook settings me itna hi kaam karna hai jiske baad aapki friend list increase nahi hogi balki friends ki jagah par aapke facebook followers increase honge.

Jaise ki aap janate honge aapki facebook profile open karke koi bhi user aapko friend request send kar sakta hai, profile page me add friends ke button par click karke koi bhi friend request bhej sakta hai.

Lekin facebook ki yeh settings customise karne ke baad aapki profile se add friend option remove ho jayega hai uski jagah par follow button add ho jayega jispar koi bhi click karke aapko follow kar sakta hai.

Yani ki ab jo bhi user aapki facebook profile par visit karega vo agar aapko friend request bhejna chahe to nahi bhej payega uski jagah par follow option par click karke vo facebook par aapko follow kar sakta hai.

Iss tarah se facebook par aapke followers increase hona start ho jayenge, agar ye jankari aapko helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.