How to add follow button on facebook yani ki facebook par follow option kaise laye iss post me hum janenge so agar aap facebook user hai aur apne facebook profile me aap follow option ko add karna chahte hai aur nahi janate ki facebook me follow button kaise add karte hai to ye post aapke liye bahut hi useful hone wali hai.
Facebook profile me by default add friend option add hota hai jisse koi bhi user aapko friend request bhej sakta hai lekin agar aap apne fb profile me follow button add kar denge to iske baad jo bhi visitor aapke fb profile me visit karenge vo follow option par click karke aapko follow kar sakte hai.
Facebook par follow option add karke aap apne followers ko increase kar sakte hai kyunki profile visitors ko sirf follow option show hoga aise me agar aapko koi friend request bhejna chahega to vo aapko follow hi karega isliye agar aap facebook par followers increase karna chahte hai to niche diye easy steps ko follow jarur kare.
- Facebook Ki Full Profile and Tagging Settings Sikhe
- Apne Facebook Account Ko Hacking Se Kaise Bachaye
Facebook Par Follow Option Kaise Laye – How to Add Follow Button on Facebook
1 Sabse pehle Facebook open kare.
2 Ab top right corner me 3 lines par click kare.
3 Iske baad bottom side me Settings and privacy option par click kare.
4 Ab kuch aur options aayenge to inme Settings option par click kare.
5 Iske baad settings page me audience and visibility section me How people can find and contact you option par click kare.
6 Next interface me Who can send you friend request option par click kare.
7 Iske baad next interface me Friends of friends option ko select kijiye.
8 Ab back aaye aur audience and visibility section me hi Followers and public content option par click kare.
9 Iske baad next interface me Who can follow me option me Public option ko select kar dijiye.
10 Ab back aaye aur 3 lines par click karke apne Profile page ko open kare.
11 Profile page me Edit profile option par click kare.
12 Iske baad Details option ke samne Edit option par click kare.
13 Edit section me bottom side me Followers option me Followed by option ko select kar dijiye.
Lijiye aapka kaam ho gaya ab aapke facebook profile me follow option add ho jayega aur koi bhi user aapki profile open karke follow button par click karke aapko follow kar sakta hai.
I hope ab aap samajh gaye honge ki facebook par follow option kaise add karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.
Video Dekhe